Re: Bait Bazi (January 2015)
tumharay Ghm ki Dalli uTha kar
zaban pay rakh li hay dekho main nay
ye qatra qatra pighal rahi hay
main qatra qatra hi jee raha hoon
Re: Bait Bazi (January 2015)
tumharay Ghm ki Dalli uTha kar
zaban pay rakh li hay dekho main nay
ye qatra qatra pighal rahi hay
main qatra qatra hi jee raha hoon
Re: Bait Bazi (January 2015)
*hum Gazal mein teraa charchaa nahin hone dete *
**terii yaadon ko bhii rusavaa nahin hone dete
daal/ye**
Re: Bait Bazi (January 2015)
yoon to zabt bohat hai hum mein lekin
aankh tak aaye aan'su peena mushkil hota hai
hay/yey
Re: Bait Bazi (January 2015)
haal maazi aur mustaqbil ki fikar khaa gaiee
ye safar kab khatm hoga aadmi ki soch ka
Re: Bait Bazi (January 2015)
Ay jazba e dil gar mein chahoon her cheez muqabil ajaye
Manzil kay liye do gaam chalon or samny manzil ajaye
Alif/ye
Re: Bait Bazi (January 2015)
ahsas e nidamat say dehleez pighal jaate . . . .ik baar muhabbat say jo daytay sada hum ko. . . .
Re: Bait Bazi (January 2015)
.
Re: Bait Bazi (January 2015)
ahsas e nidamat say dehleez pighal jaate . . . .ik baar muhabbat say jo daytay sada hum ko. . . .
wohi tu hay, aur teri na rasaai kay silsilay
wohi main hun, tera khayaal hay, naya saal hay
Re: Bait Bazi (January 2015)
younhe day raha hai qatal ki dhamkiaan.., . . . . Hum kon sa Zinda hai jo mar jaain gay. . .
Re: Bait Bazi (January 2015)
gardish-e-waqt bhi aagay mujhay lejaa na saki
tum jahan chhoR gaye thay main wahin hun ab tak
Re: Bait Bazi (January 2015)
Tum saanjh sammay ki chaaya ho ,hum charhte raat k chundar maa. . . . .tum jatay ho hum atay hain, phir mail hamara kaisay ho
Re: Bait Bazi (January 2015)
woh milta nahi ik baar humain
or yeh zindagi dobara nahi
Re: Bait Bazi (January 2015)
na mil saka koi humsafar. .na ban saka koi chara gar... . .daam mere ujray dil ka ,laga saka na koi sodagar
Re: Bait Bazi (January 2015)
raKhsh-e-haalaat ki baagain to meray haath main theen
sirf mainay kabhi ehkaam na maanay meray
Re: Bait Bazi (January 2015)
mere samnay say guzray,mera haal tak na pocha . . .. , . . . . . . .main kaisay maan jaaon woh döor ja kay roye. . .. .
Re: Bait Bazi (January 2015)
ye fakhar to hasil hay, buray hain k bhalay hain
do char qadam ham bhi teray saath chalay hain
Re: Bait Bazi (January 2015)
yaad e mazi azaab hai ya Rab...cheen lay mujh say hafiza mera .. . . .
Re: Bait Bazi (January 2015)
manzil kaisay naseeb ho teray pyar ki
rasta jo teray ghar ka pur-asraar bohot tha
Re: Bait Bazi (January 2015)
Tu
chala gaia mere humsaffar ,murr kar to daikh ik nazar . . . . . .mere
kashtian hain jalle hoye ,tere Aasman say zara paray. ..
Re: Bait Bazi (January 2015)
yeh aur baat kay milna nahi hay mumkin abhi
magar kabhi na milo zeest main, aisa bhee nahi