Bait Bazi (January 2015)

Re: Bait Bazi (January 2015)

sahi, phir ye lain

ye jo sar-gashta say phirtay hain kitabon walay
insay mat mil k inhain rog hain Khwabon walay
ab mah-o-saal ki mohlat nahi milnay wali
aa-chukay ab to shab-o-roz azaabon walay

Re: Bait Bazi (January 2015)

waqt kerta hay Parwarish bersooN

Haadsa ik dam nahi hota

Re: Bait Bazi (January 2015)

ussi say wasl ho aglay paRaao par shayad
wo jiskay hijr main hum zindagi guzar chalay

Re: Bait Bazi (January 2015)

*ye zulm to ai jallaad na kar *
**ai ishq hamein barbaad na kar

kaaf/rey**

Re: Bait Bazi (January 2015)

رحمتِ سیـدِ لولاک :saw2: پہ کامل ایماں
امتِ سیـدِ لولاک :saw2:سے خوف آتا ہے

Re: Bait Bazi (January 2015)

hazarooN saal nargis apne bay noore pey rothee

baree mushkil say hota hay chaman main deeda var paida

Re: Bait Bazi (January 2015)

afsos beshumar sukhan-ha-e-guftani
khof-e-fasad-e-Khalq say nagufta reh gaye

Re: Bait Bazi (January 2015)

ye mohabbat bhii hai kyaa rog "Faraz"
**jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

Alif**

Re: Bait Bazi (January 2015)

ik wehem tha dil main, shaayad kabhi milo tum
kuch der ruk kay poocho beetay dinoon ka mosam

meem

Re: Bait Bazi (January 2015)

Mujhko yaad aaya teri surkh si aanlhon ka sabab !
**Tere Aanchal pe laga Daag mujhe Yaad Aaaya !!

Alif**

Re: Bait Bazi (January 2015)

agar apna kaha ye samjhay bhi kya samjhay
mirza kehnay ka jab hay, ek kahay aur doosra samjhay

seen/ye

Re: Bait Bazi (January 2015)

Yaad kerte hon tumhain yaad aate he nahe
kaisy aa'ay voo cheez joo jaatee hee naheen

noon

Re: Bait Bazi (January 2015)

Nuskha marz e zinge ka qudrat nay. . . . . . . .moot ki shakal main tajveez kia hai. . . . . .

Re: Bait Bazi (January 2015)

Tobah.

Kisi bhi marz ka nuskhaa urine nahi ho saktaa. Aap Mararji Desai se bohut impress lugti hain

Re: Bait Bazi (January 2015)

Hain kawakib kuch nazar aaty hain kuch
dety hain yeh dhoka baazigar khula

kaaf/alif

Re: Bait Bazi (January 2015)

kitaboon say dalail doon ya khud ko saamnay rakhdoon
wo mujh say pooch beTha hay, muhabbat kisko kehtay hain

Re: Bait Bazi (January 2015)

Tlk>> tobah ..ap k reply ko samjhnay main mujhay itne dair lage . . .ghalate ki to gunjaish he nahi hai ap k shehar main. . . . . . . .

Re: Bait Bazi (January 2015)

na umeede bay hisse ka ab yeh aalam hai k buss .. . . . . . . . . . . .daikh kar Lassha bhi, ab koi rota nahi ha

Re: Bait Bazi (January 2015)

Yun hi besabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo
wo gazal ke sachi kitab hai, use chupke chupke pada karo

Re: Bait Bazi (January 2015)

Woh bhi kya din thay
ke teri zaroorat sirf hum thay