nashtar hai mere haath me.n, kaa.ndho.n pe maiqadaa
lo mai.n ilaaj-e-dard-e-jigar leke aa gayaa
'faakir' sanamakade me.n na aataa mai.n lauTakar
ik zaKhm bhar gayaa thaa idhar leke aa gayaa
"AliF"
[Quote=Faiz Ahmad Faiz]
Ab ahtiyaat ki koi soorat naheen rahi! **
**Qaatil se rasm o raah siwaa kar chukey hain hum! Ab apna ikhtiyaar hai chaahein jahaan chalein! Rahbar se apni raah judaa kar chukey hain hum!
Is ko khty hain Allah ki Byawaz lathi Bhooly Bisry mujh pr Bila wajy Barasy thy dykho Lutfullah a gay yahan Nam Lutfullah or kam UfAllah blk BTW qasoor is Bycharyka bhi nahi hy yahan Ijtymai Bait BAzi ho rhi hy woh Infiradi kr rha hy. Or Fardan Fardan shyr irsal kr ky Israr kr rha hy ky agar os ny Amal ya BB ko jwab diy ahy to KH ya NJ nahi wohin bnda jwabi shyr khy. Umeed hyBholy BhalyLutfullah.**Ab samajh jay ga.or Bait bazi ka Lutf Uthay gy or Uthany dain gy InshaAllah . Ab Bhooly Bisry ab Khudaraghusa thook kr koi acha sa shyr sunaiy na:)
wo tu okay but common sense bhi koi chees hooti, poooorriiii duniya main bait baazi ka ayk hi rule hay. anyhow, hopefully he/she will understand!
aur aap ko yeh chees kahany pur kiss nay mujboor kiya kay "Is ko khty hain Allah ki Byawaz lathi"
my rule is simple, jo wrong hay wo wrong hay, koi dost kuray ya dushman, and i feel good to speak if something is wrong. Dont do wrong with others and dont let others do wrong with you.....***
vo saath thaa to manzile.n nazar nazar chiraaG thii.n
qadam qadam safar me.n ab ko_ii bhii lab duaa nahii.n
ham apane is mizaaj me.n kahii.n bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahii.n
Nazm-e-maikhana kuch aisa hii chala aata hai k hamaiN
Kabhi saaqi, kabhi meena, kabhi saaghar na milaa
Hum hii mehroom thay aisay k faqat tuu hii nahiN
Hum jissay dhooNdnay niklay, wohi aksar na milaa
ab ise log samajhate hai.n giraftaar meraa
saKht nadiim hai mujhe daam me.n laanevaalaa
kyaa kahe.n kitane maraasim the hamaare is se
vo jo ik shaKhs hai muu.Nh pher ke jaanevaalaa
Naawak andaaz jidhar deeda e jaanaan honge! Nem bismil kai honge kai be jaan honge! Tu kahaan jaayegi? Kuchh apna thikaana kar le! Hum to kal khwab e adam mein shab e hijraan honge!