This week we are going to play Bait-Bazi with Qateel Shifai’s ashaar only.
I start:
Duniya main Qateel us sa munafiq nahi koi,
Jo zulm tu sehta ha baghawat nahi karta
Kaaf/alif

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam ,
Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main
meem/noon
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
aaj hua maaloom mujhe iss shehar key chand saayouN sey
apni raah badaltey rehnaa sab sey BaRi daanaai hai
hey/ye
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
![]()

Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam , Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main
meem/noon
mein apni zaat mein neelaam hou raha hoon qateel
gham-e-hayaat sey keh dou khareed laaye mujhe
meem/ye
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf,
Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein,
meem/noon
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
Mujhse tu poochne aaya hai wafa ke maani
ye teri sada dili maar hi na dale mujh ko
kaaf/wao
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
**kabhii na sochaa thaa hamane "Qateel" us ke liye
karegaa ham pe sitam vo bhii har kisii kii tarah
toye/hey**
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
halaat ke qadmon per qalandar nahin girta
toote bhi jo tarra zameen per nahin girta
girte hain samandar main bade shoq se darya
lekin kisi darya main samndar nahin girta
gaaf/alif
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
**guzare dinon kii yaad barasatii ghataa lage
guzaruun jo us galii se to Thandii havaa lage
laam/ye**
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
ya dharti ke zakhmon per marham rakh de
ya mera dil pathar kar de ya Allah
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
**aakharii hichakii tere zaanon pe aaye
maut bhi main shaayaraanaa chaahataa huun
hey/noon **
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
hamen bhi neend aa jae gi, hum bhi so jaen ge
abhi kuch beqarari hai, sitaro tum to so jao
jeem/wao
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
**jo bhii gu.nchaa tere hothon par khilaa karataa hai
vo merii tangii-e-daamaan kaa gilaa karataa hai
hey/ye **
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
ye baat sach hai ke marta nahin koi judai se
khuda magar kisi ko kisi se juda na kare
kaaf/ye
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
**yo.n agar ho to jahaan mein koi kaafir na rahe
moajuzaa tere vaade kaa vafaa ho jaanaa
jeem/alif **
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”,
Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main
meem/noon
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
Main apni zaat main neelam ho raha hoon Qateel
Gham e hayaat se keh do khareed lae mujhe
meem/ye
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki
Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay
tey/ye
Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)
tu ne dekha hi nahin aaine se aage kuch bhi
khud parasti main kahin tu na ganwa le mujh ko
kaaf/wao