Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath ,
Har roz ek shaks neya dekhta hoon ,

hey/noon

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

yun laga wo shab ko der tak soya nahin
keh sake jo dil ki haalat wo lab goya nahin

Noon

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

**Nazar Howi Hai Ba-Mushkil Sakoot Se Maanoos
Samaa’tain Tou Abhi Tak Sadaa Ki Qaid Mein Hain *
*

hey/noon

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

hanso aur hanste hanste doobte jao khalaon main
hami pe raat bhari hai sitaro tum to so jao

jeem/wao

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay

tey/ye

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

toR gaye paiman e wafa iss daur main kaise kaise log
ye mat soch Qateel bas yaar tera harjai hai

he/ye

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel,
Jis ke hathon mein qalam, paon mein zanjeerein hain

hey/noon

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN

meem/noon

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,
Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,

hey/ye

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..
Kay sang tujh pe girain aur zakham aye mujhe

Meem/ye

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,
Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,

hey/ye

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

**yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maango
apane hii gale ke liye talavaar na maango

meem/vao**

Re: Bait Bazi - February 2014 (Qateel Shifai Ashaar only)

Wo mera dost hai saray jahan ko hai maloom..
Dagha karay wo kisi se to sharm aye mujhe..

meem/ye