Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye mere ishq ke majaburiyan ma’az-ALLAH
tumhara raz tumhin se chupa raha hun main

meem/ noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

nasha pila kay giraana to sub ko aata hay
maza to jab hay kay girtoon ko thaam lay saaqi

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ya to kisi ko jurrat-e-didar hi na ho
ya phir meri nigah se dekha kare koi

kaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye kia bayaan sub say dil ki haalatain karni
faraaz, tum ko na aaeen muhabbatain karni

kaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

yaar pahaluu me.n hai tanhaa_ii hai kah do nikale

aajkyo.n dil me.n chhupii baiThii hai hasarat merii

meem/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

meray khuda mujhay itna to mautabar kar day
main jis makaan main rehta hoon, us ko ghar kar day

daal/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye aur baat hai ke "Ali" ham na sun sake

aavaz us ne dii hai hame.n har maqaam se

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

sun to sahi jahaan main hay tera fasaana kia
kehti hay tujh ko khalq e khuda ghaibana kia

kaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa kii muhabbat nahii.n ehasaan kiyaa hai

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

yaad k bay nishaa'n jazeeron say
teri aawaz aa rahi hay abhi

alif/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Is judai me tum andar se bikhar jao ge
Kisi maazor ko daikho ge to yad aon ga

Gaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

andaaz hoo bahoo teri aawaz e paa ka tha
dekha nikal kay ghar say to jhoonka hawa ka tha

tay/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ajj to mehfal-e-yaraan pe ho maghror bahot
Jab kabhi toot k bikharo ge to yad aon ga

gaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

gila likhoon main agar teri bay wafai ka
lahoo main gharq safina ho aashnai ka

kaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

a.Ndhyaare se ek kiran ne jhaa.Nk ke dekhaa sharmaa_ii

dhu.Ndh sii chhab to yaad rahii kaisaa thaa cheharaa bhuul gayaa

gaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

abhi to daman churha rahay ho, bigarh k "Qabil" say ja rahay ho
magar kabhi dil ki dharkanon main, shareek paaya to kia karo gay

gaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ek nazar kii ek hii pal kii baat hai Dorii saa.Nso.n kii

ek nazar kaa nuur miTaa jab ek pal biitaa bhuul gayaa

gaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

is baar jo eendhen k liay kat k gira hay
chirhyon ko boht pyar tha us borhay shajar say

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**yahin ke thi mohabbat ke sabaq ke ibtada main ne
yahin ke jurrat-e-izhar-e-harf-e-mudd’a main ne

noon /ye**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye aarzuu thii ke ham uske saath saath chaleN
magar vo shaKhs to rastaa badaltaa jaataa hai

hay/ye