Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Hans ke bola karo bolaya karo
App ka ghar hai Aya jaya karo

kaaf/wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Waqt bhi leta hai karwat najaney kese kese,
Umar itni to nahin jitne ke sabaq seekhey hain

hay/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Hum hashr main gaye mager kuch na pochiye
Wo jaan buhje ker wahan anjaan ban gaya

gaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Abhi Kamsin Ho Rehney do, Kahin Kho Do Gi Dil Mera
Tumhary hi Liye Rakha hai, Le Jana Jawaan ho Kar

kaaf/ray

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko
kaaf/wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Kamaal ka Peer hai Ishq
Mureed ker ke Chor Dia..!

daal/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Us ki talaash main nikley, apna pata bhool gaye,
Phir khud ko khojtey khojtey umar guzar gayi apni,

alif/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Aj Tak Qaim He Us K Lout Ane Ki Umeed.
Aj Tak Thehri He Zindagi Apni Jaga.

jeem/hay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ab bhala chhor k Ghar kia kartay
Shaam k waqt Safar kia kartay

kaaf / ye

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ye dard bhi hum ko payara hai
Ye dard jo us na daan kia

kaaf/alif

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ab bijliouN kaa khouf bhi dil sey nikal gayaa
khud mera aashiyaaN meri aahouN set jal gayaa

gaaf/alif

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ab kon se mausam se koi aas lagaye,
Barsaat mein bhi yaad na jab un ko hum aye..

alif/ye

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

abhi kaantouN sey bachaata hoon meiN apnaa daaman
abhi naa-waaqif-e-tehzeeb-e-gulistaaN hoon meiN

meem/noon

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Na janay dushmano ki kon c baat yaad agai,
Labon tak atey atey bad-dua hi or ho gai..

gaaf/ye

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

gulouN kou khil key murjhaana paRaa hai
tabassum ki saza kitni baRi hai

hey/ye

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh kya kam hai key mar janay pe duniya yaad karti hai,
Kesi key ishq main duniya lut’ta kar hum bhi dekhain gay

gaaf/ye

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

gunaah gaar key dil sey naa bach key chal zaahid
yahiN kahiN teri jannat bhi paai jaati hai

hey/ye

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ye dil bhulata nahi tha mohabbtien us ki,
pari hoi thien mujhey kitni adatien us ki,

kaaf/ye

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

kahaN mai-khaaney kaa darwaza ghalib aur kahaN waaiz
par itna jaantey heiN kal woh jaataa thaa key hum nikley

noon/ye

Re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ye mera sara safar us ki khushbo’on me kata,
Mujhey to rah dikhati thien chahtien us ki,

kaaf/ye