Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Dhundhati Hai Tujhe Koo Meri Yeh Nazar.
Keya Hoo Gaya Hai Abb Nahi Hai Khabar,

khay/ray

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Khud ko bhi lutaon to bohat kami hai meri jan,
Ik umar ka hasil ho tujhey kesi wafa dun,

daal/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

dil ko hay tujh say na milnay ka yaqeen
tujh ko palainay ki ummeed apni jaga

jeem/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Jab khuli ho gi teray dosh per zulf..
Abr bhi toot ker barsa ho ga.!

gaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

aankhon main jyoti nahi, tum samaye baithe ho
dil main dharkan nahi, tum ghar banaye baithe ho

hay/wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Wo khanjar be rukhi kay jis qadar dil par chalata hai,
To mayel is qadar us par tabiat or hoti hai,

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**ham ke thahare ajanabii itane madaaraaton ke baad
phir banenge aashnaa kitanii mulaaqaaton ke baad

bey/daal**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

dekhaa huaa saa kuchh hai to sochaa huaa saa kuchh
har vaqt mere saath hai ulajhaa huaa saa kuchh
kaaf/che
(hope I got this right)

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**kabhii rang mein kabhii ruup mein kabhii chaanv mein kabhii dhuup mein
kahin aafataab-e-nazar hain vo kahin maahataab mein dhal gaye

gaaf/ye **

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho
Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo,

kaaf/wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

koi to hay jo nizaam e hasti chala raha hay, wahi khuda hay
dikhai bhi jo na day nazar bhi jo aa raha hay, wahi khuda hay

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

yaa u.nhe.n bhii merii tarah junuu.N to phir un me.n umjh me.n ye farq kyaa 

mai.n giraft-e-Gam se na bach sakaa vo huduud-e-Gam se nikal gaye

Gaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

gaye dinoon ka suraagh lay kar kidhar say aaya kidhar gaya woh
ajeeb manoos ajnabi tha, mujhay to hairaan kar gaya woh

wow/hay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

hai tere kan zulf-e-muimbar lagi hui
rakkhegi ye na bal barabar lagi hui

he/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

hanso aaj itna kay is shor main
sada siskiyon ki sunaai na day

daal/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

**yaa unhen bhii merii tarah junuun to phir un mein umjh mein ye farq kyaa
main giraft-e-Gam se na bach sakaa vo huduud-e-Gam se nikal gaye

gaaf/ye**

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye ha.Nsataa huaa chaa.Nd ye pur_nuur sitaare
taabindaa-o-paa_indaa hai.n zarro.n ke sahaare

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

saudagari naheen ye ibadat khuda ki hay
aye baykhabar jaza ki tamanna bhi chorh day

daal/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye rang-e-bahar-e-alam hai kya fiqr hai tujh ko ae saqi
mahafil to teri suni na hui kuch uth bhi gaye kuch aa bhi gaye

gaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

gumaa'n na kar k mujhay jurat-e-sawal nahi
faqat ye dar hay tujhay lajawab kar doon ga

gaaf/ye