Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Apni he baat say mukkarr jatay hain maloom nahi kyoun
Bheegti ankhon ko khuwab tornay keliye amaadah kartay hain

hay/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Noha har aankh mein rakha ho ga,
Khawaab ko dafan kar diya ho ga.

gaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Guzrey hain tere baad bhi kuchh log idhar se
Lekin teri khushboo na gayee raah guzar se

seen/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh meri zeest main kya morr aya hai,
Ke andar tak hilaa kar rakh diya hai,

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

hum ko tum bhula paogay kaisay...
apnay dil say nikal paogay kaisay...

kaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Koi ho gaa teri tasweer jaisa,
Banana tha bana kar rakh diya hai,

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

hum woh khushboo hain jo tumhari sansoon mai hain basay...
apni sansoon ko tum rok pao kay kaisay

kaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh kis maqaam pe ly aaye hain tujhe khalaat,
key teri aankh bhi pur-nam dikhai deti hai..

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

humse kia pouchtay ho zindagi ka baray main!!.......
ajnabi kia janay ajnabi ka baray main.......!!!

meem/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Mujhse howe kitne door tum,
Ho jain kareeb Gar majbor tum..

tey/meem

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Tu Payar hi Pyar Bikhra In Fizaoon mein hai
kehin asa na ho key dorriyan dard ban jain

jeem/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Janey kiun ap key rukhsar mehak uthtey hein..
Jab bhi kan mein chupkey sey kaha eid ka chand.

chey/daal

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Duriyon se farak padhta nahi,
baat to dil ki nazdikiyon se hoti hai,

hay/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yun teri chahtain sambhaali hain,
Jese eidi ho mere bachpan ki..

kaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Kia Kahoon Kis Tarhaan Jeena Mera Maqsad Tha
Kis Tarhaan Jeeta Hoon Main Kuch Bata Sakta Nahin

noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Na janay kyun dil main utter jatay hain woh log,
Jin logon se Kismat Kay Sitaray nahin miltey..

meem/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

mere jeene ki duwa na ker ayee sitam ger
ab to merne ki hasrat her pal dil main rahe gi

gaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh jesay log hain wesay nazaar nahi atey,
Rafaqtun main chupi hain adawatain kya kya..

kaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ik bagoolay ki tarah dhoondtnay phirna tujhko
ro baro ho tou na shikwa na shikaayat kerna

kaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ik pal bhi sulgatey hoye dekhon na tujhey main,
Jab dhoop parey tujhpey to zulfon ki ghata dun,

daal/noon