Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

nend ka halka sa gulabi khumaar uski aankhon main tha
yun laga wo shab ko der tak soya nahin

noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

naa gul khiley heiN, naa unn sey miley, naa mai pii hai
ajeeb rang meiN ab key bahaar guzri hai

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

her taraf deewar o dar aur unn main aankhon ke hajoom
keh sake jo dil ki halat wo lab goya nahin

noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

naa tou hosh sey taaruf na junooN se aashnaai
yeh kahaN pohnch gaye heiN teri bazm sey nikal key

kaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Kya zulm ka manzar hai ya khawb hai yeh,
Afsos bhi karte hain ghar jalaney waley..

wao/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Wo Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Wohi Roshni Main Naha Gaya
Ajab Us Ki Haybat-e-Husn Thi, Ajab Us Ka Rang-e-Jamal Tha

te/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Aao cherrain milaap ke qissay,
Baat kartey ho kyun judaayi ki..

kaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Kabhi kahan na kisi se tere fasane ko
na jane kaise khabar ho gai zamane ko

kaaf/wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta,
Chehra magar zaroor kissi ashna’aa ka tha..

tey/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Tumhari anjuman se uth ke divane kahan jate
jo vabasta hue tum se wo afasane kahan jate

jeem/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Jo kabhi be’panaah chahta tha,
Ab mujh se panaah chahta hai..

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yon lage dost tera mujhase khafa ho jana
jis tarah phul se khushbu ka juda ho jana

jeem/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

In me khatraa hai dooob jaaney ka,
Jhaankiye mat janaab ankhon mein.

meem/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

nikal kar dair-o-kaba se agar milta na maikhana
to thukaraye hue insan khuda jane kahan jate

jeem/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh na puch ke shikaayeten kitni hain tujh se,
Yeh bata ke tera aur koi sitam baaki to nahin..

noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

naa-umeedi hai buri cheeez magar
aik taskeen si hou jaati hai

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

yon agar ho to jahan mein koi kafir na rahe
mo’ajuza tere wade ka wafa ho jana

jeem/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Aur kuch bhi mujhe darkaar nahin hai lekin,
Meri chaadar mere pairon ke baraabar kar de..

daal/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

dekhna qismat key aap apney pey rashk aa jaaye hai
meiN ussey dekhuN bhalaa kab mujh sey dekhaa jaaye hai

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

ye soch kar ki na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne

noon/ye