re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Nahin ishq ka dard lazzat se khaali,
Jisay zauq hai woh maza jaanta hai..
hey/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Nahin ishq ka dard lazzat se khaali,
Jisay zauq hai woh maza jaanta hai..
hey/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
hameiN khabar thi zubaaN kholtey hi kiyaa hou gaa
kahaN kahaN magar aankhoN pey haath rakh letey
laam/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe
ki sang tujhape gire aur zakhm aaye mujhe
meem/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Mohabbat ka khumaar utraa to tab saabit hua,
Woh jo manzil ka rasta tha, be-maksad safar niklaa..
noon/alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
achcha khasa baithey baithey gum hou jaata hoon
ab meiN aksar meiN nahiN rehtaa tum hou jaata hoon
hey/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Hanss bhi lena kabhi khud per mohsin,
Har gharri aankh ko namm kya rakhna..
rey/alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
ab tou ghabra key yeh kehtey hein key mar jaayein gai
mar key bhi chaen naa paayaa tou kidhar jaaeiN gai
gaaf/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Yoon lag raha hai jese abhi laut aaye ga,
Jaatey huye chiraagh bhujaa kar nahin geya..
gaaf/alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
aur kuch din baithane do ku-e-janan mein hamen
rafta rafta saya-e-divar ban jayenge hum
he/meem
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Mein roz pilaata hoon usey zeher ka peyaala,
Ek dard jo andar hai, martaa hi naheen..
noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
nadamaten hon to sar bar-e-dosh hota hai
‘faraz’ jan ke evaz aabaru bacha le ja
jeem/alif
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Jee main hai ab kisi darwazey pe dastak de doon,
Aur phir poochon ke aye shakhss “mera ghar hai yehi”?
ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Yeh rashk hai ke woh hota hai hum-sukhan tumse…
Warna khauf-e-bad’aamozi-e-udu kya hai….
he/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar,
Magar ik bhoolay huye qissay ki tarah,
tuein/he(halwa wali)
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Husn ko chand jawani ko kanwal kehte hain
unki soorat nazar aae to ghazal kehte hain
he/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Hum jungle ke jogi, hum ko aik jagha araam kahan,
Aaj yahan, kal aur nagar, subah kahan to shaam kahan..
kaaf/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Na sholey main yeh karishma na barq main yeh ada…
Koi batao ke woh shokh-e-thund o khu kya hai…
he/ye
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Yakeen us ko aata nahin, Wazaahat mein nahin karta,
Guzar jaye gi umar shayed, imtehaanon mein..
meem/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
nazar lage na kaheen usake dast-o-bazu ko
ye log kyon mere zakhm-e-jigar ko dekhte hain
he/noon
re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day
Har roz ke nit naye bahaney,
Ab maan bhi jao, badal gaye tum
tey/meem