Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

gaye dinoN kaa suraagh ley kar kidhar sey aaya kidhar gaya woh
ajeeb maanoos ajnabi thaa mujhey tou hairaan kar gaya woh

wao/hey

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Hum pe naazil hua hai ishq aese,
Jese qoamon pe azaab aata hai..

Hey/Yay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Hijar ki raat kaatney waley,
Kya karega agar sehar na hui

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

har shakhs apney apney ghamouN meiN hai mubtila
zindaaN meiN apney saath rulaaeiN kisi ko kiyaa

kaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Kisi Ko Apnay Amal Ka Hisaab Kya Detay ?
Sawaal Saaray Ghalat Thy Jawab Kya Detay ?

Daal/Yay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh jo nazron se dil ko nidhaal karte ho,
Kartey to zulm ho magar kamaal karte ho

hey/wao

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

wo muhhabat se khafa hai mje maloom na tha,
ishq us se rawa na rakha ye mjhy maloom na tha

Tey/Alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Tere hijar main aur mujhe kya karna hai,
Tere naam kitaabein likhtaa rehta hoon..

hey/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Nahi hai ilaaj kisi bhi tabeeb ke paas,
Ishq la-ilaaj hai, bas ehtiyaat kijiye..

Kaaf/Yay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yoon hi de raha hai qatal ki dhamkiyaan,
Hum jese zinda hon jo mar jaayen ge..

gaaf/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

gajaraa banaa ke le aa maalaniyaa
vo aaye hai.n ghar me.n hamaare

Hey/Yay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Yeh dard-e-dil na geya, dard-e-janaan ki tarah,
Galay mein daal ke sab taweez dekhey hain..

hey/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Nafsa nafsi ka ajeeb aalam hai,
Bheerr hai, magar tanhaai hai..

Hey/Yay

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Hai shoq-e-safar aesa ke ek muddat se hum ne,
Manzil bhi nahin paayi, aur rasta bhi nahin badla..

bey/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

boht pehle se unn qadmon ki aahat jaan lete hain
tujhe ae zindagi hum door se pehchaan lete hain

he/ noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

hosh-o-havaas-o-taab-o-tavaaN daagh jaa chukey
ab hum bhi jaane waaley heiN saamaan tou gayaa

gaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

Ga raha tha koi darakhton mein.
Raat neend aa gayee darakhton mein

meem/noon

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

meri ruswaai meiN woh bhi heiN baraabar key shareek
meray qissey meray yaarouN kou sunaataa kiyaa hai

hey/ye

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

hansi chupa bhi gaya nazar mila bhi gaya
ye ik jhalak ka tamasha jigar bhi jala gaya

gaaf/alif

re: Bait Bazi (Boys Team) -Last Day

aankheiN khulieiN tou jaag utheiN hasrateiN tamaam
uss kou bhi kho diyaa jisey payaa thaa khwaab meiN

meem/noon