Bait Bazi----August 2007

Re: Bait Bazi----August 2007

Wo To Wo Hai Tumhain Ho Jaye Gi Ulfat Mujh Se
Ek Nazar Tum Mera Mehbuub-e-Nazar Yo Dekho

'Wow'

Re: Bait Bazi----August 2007

*
wo hans deye tu sitarayy bikheR gaye har sou
wo rou deye raat mushk-bou na hoii
wo chal deye tu kaii daastanieN chor gaye
wo mil gaye tu koii baat ru-baru na hoii *

~yeh

Re: Bait Bazi----August 2007

Wohi iztarab - e - faraq hai, wohi ishtiyaq - e - wisal hai
Teri justjoo main jo haal tha, tujhay paa kay wohi haal hai

"yay"

Re: Bait Bazi----August 2007

yahi hai ishq ke sir do magar duhai na do
wafoor-e-jazb se phooto magar sunai na do

wao

Re: Bait Bazi----August 2007

Wo meray pass raha or mujhay kabhi na mila
Bohot ajeeb hai yay qurbatoon ki doori bhi

" Yay "

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye Chiragh-E-Benazar Hai Ye Sitara Bezubaan Hai
Abhi Tuj Se Milta Julta Koi Dosra Kahan Hai<O:p
<O:p
'Ye'

Re: Bait Bazi----August 2007

*
ye dil boht udas haii jab se khabaR hoii
milta haii wo khulos se har ajnabii k saath *

~hayy~

Re: Bait Bazi----August 2007

Hay Bus Ke Her Ek Unn Ke Isharay Main Nishaan Aur
Kertay Hain Muhabbat To Guzarta Hai Gumaan Aur

'Ray'

Re: Bait Bazi----August 2007

raha na dil main wo bedard aur dard raha
muqeem kaun huwa aur muqaam kis ka tha

Alif

Re: Bait Bazi----August 2007

***aisay se hi guzar jate hain hum roz gali sai*** ***Kerte hain muhabbat to sada q nahen dete *** ***Is zabt-e-gham dil main kahen tot na jaon*** ***Jo dil pai guzarti hai bata q nahen dete *** **** ***"ye"***

Re: Bait Bazi----August 2007

ye b adaab hamare hein tmhe kia maloom
hum tumhe jeet k haarien hein tumhe kia maloom
aik tum ho k samajhtayy hii nahi hamien apna
aik hum hien k tumhare hein tumhe kia maloom

~meem~

Re: Bait Bazi----August 2007

Mujhay yaqeen to nahi hai mager yahi sach hai
Main teray vastay umrain guzar sakta hoon
Yahi nahi k tujhay jeetnay ki khwahish hai
Main teray vastay khud ko bhi haar sakta hoon

"Noon"

Re: Bait Bazi----August 2007

Navaa peraa ho aye Bulbul! kaY ho teraY tarannum saY
Kabootar kaY tun-e-naazuk maiN ShaheeN kaa Jiger peda

BY: Allama Iqbal
"Alif"

Re: Bait Bazi----August 2007

Ab kis say kahain or koon sunay jo haal tumharay baad hoa
Is dil ki jheel si aankhoon main ek khwab bohot barbad hoa
"Alif"

Re: Bait Bazi----August 2007

Aao tum ko bataaouN maiN zawaal-e-Ahl-e-Maghrib kaa plan :fatee:
Ahl-e-Maghrib ko MuslamaanoN kaY ghar pedaa karo :lifey: :cb:

Syed Zameer Jafri
“Wow”

Re: Bait Bazi----August 2007

Wo jis nay diyay mujh ko mohobbat k khazanay
Badal ki trha aankh say barsa bhi wohi hai

" Yay "

Re: Bait Bazi----August 2007

buhat khoob :lajawab:

yeh aur baat ke tumhain parhnay ki fursat na milay
hum teray shehr main akhbaar banay phirtay hain

noon

Re: Bait Bazi----August 2007

Nazer say us nay giraya kuch is trha khawar
Keh main khud apni igahoon main moatber na raha

" Alif "

Re: Bait Bazi----August 2007

Uss Ne Hansi Hansi Main Muhabbat Ki Baat Ki
Mainay Adeem Uss Ko Mukarnay Nahi Dia

'Alif'

Re: Bait Bazi----August 2007

Is shehr k log bhi sanober ki trha hain
Ugtay hain jahan s ay wahan saya nahi kertay

" Yay "