Bait Bazi----August 2007

Re: Bait Bazi----August 2007

Neend sey bhi sukon nahin hota
aankh soyi haii dill nahin sota..
umrr guzri isi kash-makash mein
yun na hota Adam` to yun hota

Alif

Re: Bait Bazi----August 2007

Aise Raha Karo Ke Karain Log Aarzu
Aise CHalan Chalo Ke Zamana Misaal De

'Ye'

PS: arsalam please follow rules while posting couplet.. :s

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye maira veham sahii phir bhi yun na ho ke kahin
mujhe na pa'a kar wo khud ko sazayen dayta ho

wao

Re: Bait Bazi----August 2007

Wo Mujh Ko Chhor Gaya To Mujhe Yaqeen Aaya
Koi Bhi Shakhs Zaruri Nahi Kisi Ke Leay

'Ye'

Re: Bait Bazi----August 2007

yehi jagah jahan hum sab mil ker baithay hain
kall Khuda jaanay yahan perr kaun hoga....
bicharne walay tujhe daikh daikh ker sochta hon
tu phir milay ga tou kitna badal chuka hogaa...

Alif

Re: Bait Bazi----August 2007

Isi Andaaz Main Hotay Thay Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likho ge To Yaad Aaonga

'Alif'

Re: Bait Bazi----August 2007

Uski Qismat mein sada chain hi likhna Ya'Rab
wo jo harr baat pe maira dil dukha dayta haii

Yeh

Re: Bait Bazi----August 2007

Yeh Kaafee Hai Ke Hum Dushman Nahi Hain
Wafadaree Ka Dawa Kyu Kerein Hum

'Meem'

Re: Bait Bazi----August 2007

Mujhey maloom hai uss ka thikana phir kia hoga..
parinda aasman choonay mein jab nakam ho jaye

Yeh

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye Zindagi Yahan Khushi Ghamon Ke Sath Sath Hai
Rula Sako Tou Saath Do, hansa Sako Tou Saath Do

'Wow'

Re: Bait Bazi----August 2007

Waqt ka kya hai kisi pal bhii badal sakataa hai
Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo

Re: Bait Bazi----August 2007

Wo Jo Lutf Mujh Pe Thay Paish-ter, Jo Karam Ke Tha Meray Haal Per
Mujhe Sab Hai Yaad Zara Zara, Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

'Wow'

Re: Bait Bazi----August 2007

Wo Na Aayega Hamein Malum tha us Shaam bhi
Intezar Us ka Magar Kuch Sooch kar Kartay Rahay

"Ye"

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye Ghazi Ye Teray Pur-Israr Banday
Jinhain Tunay Bakhsha Hai Zoq-e-Khudai

'Ye'

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye shehr hay kay Numaaish Lagi hoi hay koi
Jo Aadami bhi mila bana ke Ishtehaar mila

Re: Bait Bazi----August 2007

Aaj Na Janay Raaz Ye Kia Hai
Hijr Ki Raat Aur Itni Roshan

'Noon'

Re: Bait Bazi----August 2007

na tha kuch tu khuda tha kuch na hota to khouda hota
dooboya mujh ko hone ne na hota main to kiya hota

Re: Bait Bazi----August 2007

Aaj Insaan Ka Chehra To Hai Suraj Ki Tarah
Rooh Main Ghor Andheray Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

'Noon'

Re: Bait Bazi----August 2007

**
Nahi ab to koi malaal bhi, kisi waapsi ka khayaal bhi
gham-e-be'kasi ney mita diya, merey dil meiN tha bhi agar koi
**
"Ye"

Re: Bait Bazi----August 2007

Yay meray dard ki dolat meri mata - e- faraq
In aansoo'n ki wazahat main umer bhar na karoon
Wo ek pal ko hi sahi dikhai to day kahee'n !
Main jaa'n gawaan kay bhi us pal ko mukhtasir na karoo'n

" Noon "