Bait Bazi----August 2007

Re: Bait Bazi----August 2007

:k:

Ye karain aur woh karain, ye na karain woh na karain
do din ki zindagi, do din mein hum kiaa kia karain :smack:

Noon

Re: Bait Bazi----August 2007

Nigah-e-Mard-e-Momin Se Badal Jaati Hain Taqderain
Jo Ho Zoq-e-Yaqeen Paida To Kut Jatee Hain Zanjerain

'Noon'

Re: Bait Bazi----August 2007

Acha Shumaisa.. take care.. n ALlah hafiz..

Jashn-e-Azadi Mubarak.. :)

Re: Bait Bazi----August 2007

Nigah-e-shauq ki thin bad-hawasiyan warrna ghalib`
hazaar baar woh mehfil mein be-naqaab aayaa…

Alif

Thnx Ahmer, Aap ko bhi Jashn-E-Azaadi Mubarak.. :flower1:
Allah Hafiz.

Re: Bait Bazi----August 2007

*ajnabii shehR k ajnabii raastayy
merii tanhaii per muskuratayy rahayy
mae boht dairr tuk yunhii chalta raha
tum boht dairr tuk yaad aatayy rahayy

*

~yeh

Re: Bait Bazi----August 2007

thaly vaikho

Re: Bait Bazi----August 2007

ye kya kah har kisi say bayan dil ki haltain karni
faraz tujh ko na asakee'n muhabatain karni

yeh.

Re: Bait Bazi----August 2007


yehi hai qismatay sehra yehi kram tera
ke boondh boondh ata kar ghta ghta lay ja

alif

Re: Bait Bazi----August 2007

Ab FARAZ apnay maseeha say umeed na rakh
woh tang-dil hai aur teray zakham main hai gheraee bohat

'tay' say tumhari bari ab.

Re: Bait Bazi----August 2007

Tumharay Ranj say uthtay rahay sawal bohot
Gay dinoon ka bhi aata raha khyal bohot
Kisi bhi tor say shikwa humain gawara nahi
Tumhain urooj sahi or humain zawal bohot

" Tay "

Re: Bait Bazi----August 2007

Tumhara Naam likh likh ker mitana bhool jata hoon
Tumhe jab yaad kerta hoon zamana bhool jata hoon

Bohat si aisi baaten hain jo mere dil main rehti hain
Magar jab tumse milta hoon batana bhool jata hoon

Re: Bait Bazi----August 2007

*
Na mere kalam se likhii gayii na merii zubaN se ada hoii
jo nazaR se kehne kii baat haii wo harf mein na samaaye gii
koii phool chunta hia kis liye koii dhoul hota hia kis liye
ye waQt waQt kii baat haii tujhe zindagii bataye gii*

yeh~

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye kia k laut bhi aaye saraab daikh k loog
wo tashnegi thi ke pataal tak utarrna tha

Alif

Re: Bait Bazi----August 2007

*Apne hissayy kii saari khushiyaaN de ker
ker dya pyaar ko reha mae ne *

Re: Bait Bazi----August 2007

Yahan harr kissi se bair haii, taira sheharr qarya-e-ghair hai..
yahan sehel bhi to nahin koi, maire be-khabar tujhe dhondna

Alif

Re: Bait Bazi----August 2007

*
Us ne kaha tu koun hai mae ne kaha hasrat terii
Us ne kaha daikhta haii kia, mae ne kaha soorat terii
Us ne kaha chahta haii kia, mae ne kaha khidmatt terii
Us ne kaha pachtaye ga, mae ne kaha Qismatt merii

~yeh~***

Re: Bait Bazi----August 2007

Yaraan-e-Jahaan Kehtay Hain, Kashmir Hai Jannat
Jannat Kisi Kaafir Ko Mili Hai Na Milay Ge

'Ye'

Re: Bait Bazi----August 2007

Yeh ehl-e-dil jo na duniya mein hotay
naya lehja naa hota guftagu mein..

Noon

Re: Bait Bazi----August 2007

Nikal De Mujhay Apni Khuda-i Se Bahar
Khata Muaaf Ke Ye Kaam tere Bass Ka Nahin

'Noon'

Re: Bait Bazi----August 2007

Ye ajab saet-e-Rukhsat hay k dar Lagta hay
Shehr ka Shehr mujhay Rukht-e-Safar Lagta hay
Hum ko Dil ne nahi Halat ne Nazdeek Kya
Dhop mein door se har Shakhs Shajar Lagta hay