Re: Bait Bazi----August 2007
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kiun Bujh Gaya Aawargi
Iss Dasht Main EK Shehr Tha, Wo Kia Hua Aawargi
'Ye'
Re: Bait Bazi----August 2007
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kiun Bujh Gaya Aawargi
Iss Dasht Main EK Shehr Tha, Wo Kia Hua Aawargi
'Ye'
Re: Bait Bazi----August 2007
Youn ghalat to nahin chehron ka taa'sur magarr
loog waise bhi tou nahin jaise nazar aatay hain
Noon
Re: Bait Bazi----August 2007
Nasha Pila Ke Girana To Sab Ko Aata Hai
Maza To Jab Hai, Girton Ko Thaam Le Saaqi
'Ye'
Re: Bait Bazi----August 2007
Ye aur baat hai k sharminda-e-ta'abeer na ho
har zehen main kuchh taj mahal hotay hain...
Noon
Re: Bait Bazi----August 2007
Na Chhupa Chhupa Ke Tuu Rakh Isay Tera Ayena Hai Wo Ayena
Ke Shikasta Ho Tou Azeez-terr Hai Nigah-e-Ayena Saaz Main
'Noon'
Re: Bait Bazi----August 2007
na kia kar janoon samay ko rokne ka
ye behat darya hai behta hi rahe ga
teri berukhi se na wo lot kar aae ga kabhi
wo to badal hai sada chalta hi rahe ga
Re: Bait Bazi----August 2007
Ab Wo Aye To Ye Kehna Ke Musafir To Gaya
Ye Bhi Kehna Ke Bhala Abb Bhi Na Jata Logo
'Wow'
Re: Bait Bazi----August 2007
Waqt nay dil main kuraydee hain purani yaadain
Aarzoo zehan pay wehshat ke tarha chaiyee hai
Re: Bait Bazi----August 2007
*Ye hi hai ishq ke sir do magar duhai na do
wafoor-e-jazb se phooto magar sunai na do *
"Wao"
Re: Bait Bazi----August 2007
***wada to kar lete hain nibhana bhool jate hain,
laga kar aag seene main bhujana bhool jate hain
bhoolna to aadat ho gae hai logon ki,
rulate hain aur phir manana bhool jate hain
-noon-
Re: Bait Bazi----August 2007
Na janay hum shana'sai kay kis aalam main rehtay hain
Tumhari ajnabeayt say tumhain pehchaan laytay hain
Re: Bait Bazi----August 2007
**naii rutoN mein dukhoN k silsilayy hein naye
wo zakhm taza hoayy jo bharnayy walayy thayy
ye kis muQam pe soojhii tujhe bicheRnayy kii
k ab tu ja k kaheen din sanwarnayy walayy thayy **
~yeh
Re: Bait Bazi----August 2007
Youn akaylay main usay ehd-e-wafa yaad aa'ay
Jaisay banday ko museebat main khuda yaad aa'ay
yeh
Re: Bait Bazi----August 2007
ye kia k balakta phoro`N shaam-o-seheR mae
tu Rabb haii tu aik hii faryaad boht haii
~yeh***
Re: Bait Bazi----August 2007
yeh umar bhar ka jagna bay-kar he na ja'ay
tou na mila to sare raiyzaat fazool hai
yeh
Re: Bait Bazi----August 2007
ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
~AliF
Re: Bait Bazi----August 2007
Ay abr - e - mohabbat tu kaheen or baras ja
Main rait ka teela hoon meri piyas bohot hai
" Yay "
Re: Bait Bazi----August 2007
Yeh kis muqaam pey layii haii mairi tanhaii
k mujh se aaj koi bad-guman nahin hota...
main usko bhool gaya hon ye kaun mane ga
kisi cheragh k bas mein dhuwan nahin hota
Alif
Re: Bait Bazi----August 2007
Aik hi gher main rahain or fasila sadiyoon ka ho
Is jahan main is trha kay zabtay bhi hotay hain
" Noon "
Re: Bait Bazi----August 2007
Naa haii dushmani kissi din sey ab naa hai dosti kissii raat se
hay bacha hi kia jo wo le gaya mujhe cheen ker mairi zaat se
wo muqam hi tha ajeeb sa k main khud ko bhi na bacha saka
na main pass usko bula saka na main dil kii baat sunaa saka
Alif