Re: Bait Bazi----August 2007
Yay saal bhi udaas raha rooth ker gaya
Tujh say milay baghair december guzar gaya
" Alif "
Re: Bait Bazi----August 2007
Yay saal bhi udaas raha rooth ker gaya
Tujh say milay baghair december guzar gaya
" Alif "
Re: Bait Bazi----August 2007
*Agar bhulaye huye usko aik umr hui
To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiuN
wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey
Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiuN *
"Noon"
Re: Bait Bazi----August 2007
Na phoolon ki mala na kaliyoon ki barish
Khas-o-khar hi hain mohobbat ka hasil
" Laam :
Re: Bait Bazi----August 2007
Log Kehtay hein Jissay Neel Kanwal wo tu Qateel
Shub ko in Jheel si Aankhon mein Khilla kartay hay
"Ye"
Re: Bait Bazi----August 2007
Yaad-e-mazi azab hai Yarub
Cheen lai mujh say hafezah mera
Re: Bait Bazi----August 2007
Is qadar Nafrat hay in ko Teragi kay naam se
Roz-e-Roshan mein Bhi Shamein Jala Letay hein log
Ye bhi dekha hay ke Jub aa jaiy Ghairat ka Maqam
Apni Sooli apnay Kandhon per utha Letay hein log
Re: Bait Bazi----August 2007
***gaye dinon ka suraagh le k, kidher se aaya kidheR gaya wo
ajeeb manoos ajnabii tha mujhe tu hairan ker gaya wo
~wow` ***
Re: Bait Bazi----August 2007
wo bara raheem-o-kareem hay mujhe ye sift bhi ata kare
tujhe bhulne ki duaa karun to duaa mein meri asar na ho
"Wao"
Re: Bait Bazi----August 2007
Wo meray pass raha or mujhay kabhi na mila
Bohot ajeeb hai yay qurbatoon ki doori bhi
" Yay "
Re: Bait Bazi----August 2007
Ye za'am tha k kom-o-makaan dastaras mein hain
aankhain khulli tou zaat kii manzill bhii duurr thi...
Yeh
Re: Bait Bazi----August 2007
Ye Bhi Nahi Ke Tum Hanso Buhat Magar
Ro Ro Ke Mai-Kada Na Bharo Khush Raha Karo
'Wow'
Re: Bait Bazi----August 2007
Wo safar mein tha kuch aise hamsafar us ka na tha
dhoop thii aurr raah mein koii shajar uss ka na tha
Alif
Re: Bait Bazi----August 2007
Uss Sheher Main Jao To I tna Usay Kehna
Baqi Na Sunay Koi Tanha Usay Kehna
Kuch Log Safar Ke Leay Mozoon Nahi Hotay
Kuch Raastay Kat-tay Nahi Tanha Usay Kehna
'Alif'
Re: Bait Bazi----August 2007
^ Nice..
Uska malaal kia jo nahinn ikhtiyaarr mein...
itna bhi kia ye kam hai k wo apna laga mujhe
wehshatt kahain isse ya maire paun kii talab
uskii taraf hii ley gaya harr raasta mujhey...
Yeh
Re: Bait Bazi----August 2007
Ye Raaz Kisi Ko Nahi Maloom Ke Momin
Qaari Nazar Aata Hai, Haqeeqat Main Hai Qur'an
'Noon'
Re: Bait Bazi----August 2007
Nahin achi nazakat-e-ehsaas iss qadarr
ayi'na bano gey tou pathar bhi aaye ga
Alif
Re: Bait Bazi----August 2007
Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Chirag Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Dee'ya
'Alif'
Re: Bait Bazi----August 2007
Is shehar mein kitne chehre the kuch yad nahin sab bhol gaye
aik shakhs kitabon jaisa tha woh shakhs zabaani yaad huvaa..
Alif
Re: Bait Bazi----August 2007
Iss Shart Pe Khelon Gi Piya Pyaar Ki Baazi
Jeeton To Tujhay Pa-on Haroon To Piya Teri
'Ye'
Re: Bait Bazi----August 2007
Ye kaun karta hai hawaon se mukhbari ja ker
charaagh jab bhii jalata hon roshnii key liye..
Yeh