Bait Bazi - April

Re: Bait Bazi - April

**aaNsoo kii kia bisaat, magar josh-e-'ishq ne
qatre ko mauj, mauj ko tuufaaN banaa diyaa

a she'r by: my **DAD!**DAAL **yaa **ALIF **se

Re: Bait Bazi - April

Aye dil, ab chor bhi day usay yaad karna
woh kalimah nahi hai jo tu kaafir ho jaiga

Gaaf/alif

Re: Bait Bazi - April

**ab koii ummiid hai "Shahid" na koii aarazuu
aasare TuuTe to jiine ke vasiile ho gaye

gaaf/ye**

Re: Bait Bazi - April

Gar baazi ishq ki baazi hai, jo chaho laga do, dar kaisa?
Gar jeet gai tu kya kehna, haaray bhi tu baazi maat nahi.

noon

Re: Bait Bazi - April

**NA JANEY KON HAI JO DUAION MEIN YAAD RAKHTA HAI
MEIN DOBTA HUN SAMUNDAR UCHAL DETA HAI

hey/ye**

Re: Bait Bazi - April

ye kaisay mumkin hai kay zindagi mei gham na milay,
koi hamay na mila, kissi ko ham na milay
kya chaal chali hai mere muqaddar nai mujh say,
pyar tera mila,magar tum na milay

meem/ye

Re: Bait Bazi - April

muhabat Ko Hamesha Majbooriyan Le Dobti Hain__

Werna Koi khushi Se Bewafa Nhi Hota__

Re: Bait Bazi - April

Iss basti kay ik koochay mai, Ik Insha naam ka dewanaa.
Ik naar peh jaan ko haar gaya, Mashoor hai uska afsana.

Alif

Re: Bait Bazi - April

ous ko wafa ki shart se azad kar dia

goya yun maine khud ko berbad kar dia

Re: Bait Bazi - April

aGhyaar kii jafaa kaa thaa shakwa hameN, magar
tarz-e-vafaa-e-yaar ne usko bhulaa diyaa
**
a she'r by: **ME
!

**DAAL **yaa **ALIF **se

Re: Bait Bazi - April

Do you like sad poetry more or its just a co-incidence?

Inshaa G, Han tumhen bhi dekha ... darshan chotay naam bohat,

Chauk main khota maal saja lay laitay ho .... daam bohat.

Bay/Tay

Re: Bait Bazi - April

Bewaja nahi rota ishq mai koi Ghalib,
jissay khud say barh kar chaho, woh rulata zaroor hai

hay/ye

Re: Bait Bazi - April

hum Ghoom chukay basti, ban main ..
ik aas ki phaans liye man main ...

Koi sajan ho, koi pyara ho ...
Koi deepak h, koi taara ho ...

jab jeevan raat andheri ho ...
Ik bar kaho tum meri ho ...

Hay/ Wao

Re: Bait Bazi - April

Abhi to sirf main Ibne Insha pay hoon or ap log haar maan gaye hain?

Re: Bait Bazi - April

hazaron manzilayn hongi, hazaro karavaan hongay,
nihgaahain hum ko dhoondain gi, najanay hum kahan hongay

hay/ye

Re: Bait Bazi - April

Hamare Khoon Ki Keemat Nahi,
Unke Ashkon Ke Bhi Daam Lagte Hain
**
**hey/noon

Re: Bait Bazi - April

na ho un pe kuch mera bass nahi, k ye aashqi hai hawas nahi
Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi tu nahi sahi

seen/yaay

Re: Bait Bazi - April

**Yun to kaya chez zindagi mein nahi
jese soche the apney jee mein nahi
ik sahks hai zindagi jesa
or woh shaks mere zindagi mein nahi

Noon**

Re: Bait Bazi - April

It was "seen/ yay"

Re: Bait Bazi - April

Na tha kuch tu khuda tha, kuch na hota tu khuda hota,
daboya much ko honay nay, na hota mai tu kya hota

hay/alif