Bait Bazi - April 2012

Re: Bait Bazi - April 2012

**Yeh sitaare jo chamakte hain pas-e-abr-e-siyaah

Tere gham ko meri aadat naheen banne daite

Woh mohabbat ka ta'alluq ho yaa nafrat ka Nadeem

Raabtey, zeest ko khalwat naheen banne daite... **

Re: Bait Bazi - April 2012

****duaa ko haath kyoo'n utthe hein mire teemaar-daaro'n ke ?*
zabaa'n se kyoo'n nahee'n kehte ki ummeed-e-shifaa kam hai***

Re: Bait Bazi - April 2012

Ye Aur Baat Hai Ki Tu Ho Chuki Hai Gair
**Par Ab Bhi Teri Yaadon Se Roshan Hai Raatein Meri

meem/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

Mil kar juda huwe tau na soya karenge hum ...
Ek dosre ki yaad mein roya karenge hum ...

Next: "Hay / Meem"

Re: Bait Bazi - April 2012

mohabbat meN nahiiN hai farq jiine aur marne kaa
usii ko dekh kar jiite haiN jis kaafir pe dam nikle

Noon / ye

Re: Bait Bazi - April 2012

**Najanay Dil Bhi Kya Shay Hai
Keh Gar Abad Ho Jaye
To Dunya Ka Her Ik Mausam
Bohat Shaadaab Lagta Hai

hey/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

hai paray sarhad-e-adraak se apnaa masjuud
qible ko ahle nazar qibla-numa kahte haiN

Hey / Noon

Re: Bait Bazi - April 2012

**Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte

seen/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

shahar dar shahar haath ugte haiN
kuchh to hai jo har ek savaalii hai

hey / Ye

Re: Bait Bazi - April 2012

***yehi bhaut hay kay dil usko dhond laya hay *
*kisi kay saath hi sahi woh nazar to aya hay *
*karo shikaayatain takta raho kay piyaar karo *
**gaee bhaar ki surat woh laut aya hai

hey/ye****

Re: Bait Bazi - April 2012

Yaad aate hain aaj uff gunaah kya kya 'Mohsin'
Pehla yeh ke muhabbat kar li aakhri yeh ke tujhse kar li ... !

Next: "Laam / Ye"

Re: Bait Bazi - April 2012

**lagataa nahin hai jee meraa ujarey dayaar mein
kis kee bani hai aalam-e-na paayedaar mein

meem/noon**

Re: Bait Bazi - April 2012

mujhe guman tha chaha bohat zamane ne mujhe.
Mein azeez sabko thaa magar zarurat ke liye
...

Re: Bait Bazi - April 2012

laao to qatl-naama meraa maiN bhii dekhuuN
kis kis kii mohar hai sar-e-mahzar lagii huii

He/ ye

Re: Bait Bazi - April 2012

yar agheyar sabhi ahley tamasha nikle:snooty:
kitne tanha the k jb dakhley maqtal hue ham

hey/ meem

Re: Bait Bazi - April 2012

mai se Garz-e-nishaat hai kis ruu-siyaah ko
ek guuna be-Khudii mujhe din raat chahiye

Chey / ye

Re: Bait Bazi - April 2012

yun tujhy dhundne nikle k na aey khod bhi
vo k musafir jo manzil they bajaey khod bhi

bhe/ye

Re: Bait Bazi - April 2012

**ye aur baat terey roobaroo naheen guzra
main jiss aazab se guzra hoon tu naheen guzra

gaaf/alif**

Re: Bait Bazi - April 2012

Inhi pathroo'n par chal kar asakoo to aoo
mere ghar kay rastay mai koi kehkishaa'n nahi hai

hey/yeh

Re: Bait Bazi - April 2012

Yeh Qana'at Hai, Ata'at Hai Ke Chahat Hai Faraz
Hum Tu Raazi Hain Woh Jis Haal Mein, Jaisa Rakhe

Re / ye