Bait Bazi - April 2012

:salam:

April Allama Iqbal ka maheena hai. Iss maah ki bait bazi ka aghaz unhi ke shair se karte hain:

Shoq tera agar na ho meri namaz ka imaam
Mera qayam bhi hijaab, mera sujood bhi hijaab

Badi Hey / Be

Re: Bait Bazi - April 2012

***bichharh gaye, to kisii roz mil hii jaaoge*
**ye duniya aisii kahaaN kii bahut barhii hai miyaan

meem/noon****

Re: Bait Bazi - April 2012

Mamnoo qarar paa gae hain
Jis bazm mainharf ekhas the hum

Jalte rahe, her hawa ke aage
Kia janiye kis ki aas the hum

He/ Meem

Re: Bait Bazi - April 2012

***huaa kartee hai dushvaaree hee se aasaaniyaa'n paidaa*
**barhe naadaan hain, mushkil ko jo mushkil samajhte hain

hey/noon****

Re: Bait Bazi - April 2012

Nasir kia kehta phirta hai, kuch na suno to behtar
Deewana hai, deewane ke munh na lago to behtar
Kapde badal kar baal bana kar kahan chale ho kis ke liye
Raat boht kaali hai Nasir, ghar main raho to behtar

Be / Re

Re: Bait Bazi - April 2012

***Rifaqaton kay safar mein to bey yaqeeni thee*
**Yeh faasla hi jo rishta banaye rakhta hai

hey/ye****

Re: Bait Bazi - April 2012

Yeh Mashghala hai kisi ka, na jane kia chahay
Na faaslon ko mitae, na faisla chahay

Chey / Ye

Re: Bait Bazi - April 2012

****Yeh raaz tark-e-taalluq kay baad hum samjhey
Kisee se tark-e-taalluq bhee eik taalluq hai

hey/ye****
**
**

Re: Bait Bazi - April 2012

Humen gham mila hamesha surat badal badal ke
Guzri hai umr sari tanhaiyon main jal ke

Kaaf / Ye

Re: Bait Bazi - April 2012

**Kisi Zulf ko Sada do kisi Aankh ko Pukaro
Bari Dhoop par rahi hay koi Saiban nahi hay

hay/ye
**

Re: Bait Bazi - April 2012

Youn wehshat e rukhsat main na iss dil ko rakha jae
Jana hai kisi ko to achanak hi chala jae

(Jeem / ye)

Re: Bait Bazi - April 2012

**Tuj sy Bichar k Faqat inta howa hay "Mohsin"...
Tera gaya Kuch bhi Nahi, Mera Raha Kuch bhi Nahi...

Noon/ye
**

Re: Bait Bazi - April 2012

Jeem / Ye se shair sunana tha, Te se nahin.

Re: Bait Bazi - April 2012

***Jazbey ki lau ko mere junoo ko chhua to hai*
**Itna hua wo khawab mai aa ker milaa to hai

hey/ye****

Re: Bait Bazi - April 2012

Hum se muhabbaton ki nimaish na ho sake gi
Bus itna jante hain ke tujhe chahte hain hum

He / Meem

Re: Bait Bazi - April 2012

***Mujhay lakh ho bharosa mairay dil ka kya thikana*
**kabhi bay naqaab ho kar mairay samnay na aa na

alif/noon****

Re: Bait Bazi - April 2012

Uski aankhon ko kabhi ghor se dekha hai Faraz
Sone walon ki tarah, Jagne walon ki jaisi

Jeem / Ye

Re: Bait Bazi - April 2012

jaise pahle hii se baiThe hoN nihaaN mire liye
aur, chhup jaayeN agar vo haiN yahaN mere liye
**

laam/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

**Jo baat kabhi na kehni the, wo baat mu say nikal gai
Jo lafaz tuj say kayhnay thay, wo dill kay goshay may reh gayay

Khuab khuab the zindgi, khuab khuab the har khoshi
Mayray khuab matii kay ghar thay, jo pehli baraish may beh gaye

gaaf/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

Ye dukh nahin ke rahin budgumaniyan Tabish
Ye runj hai ke shiakayaat bhi na kar paya

Pe / Alif