Bait Bazi - April 2012

Re: Bait Bazi - April 2012

Use bhii Shah ne musaahib bana liya apna
Ek aadmii se tavaqqo thii lab-kushaii kii

Kaaf/Ye

Re: Bait Bazi - April 2012

**Ye kiss maqaam pay soojhee tojhay bichharnay kee
Abhee to jaa kay kaheen dinn sawarnay waalay thay

tey/ye **

Re: Bait Bazi - April 2012

Tuuti huii kamaan hai, shaamil huuN jang meN
kahtaa hai kaun merii shuja'at chalii gayee

Gaaf / ye

Re: Bait Bazi - April 2012

guzra hun jis taraf se bhi pathar lage mujhe
esey bhi kia they laal-o-jawahar lage mujy:bummer:

meem/yey

Re: Bait Bazi - April 2012

mujhe bhii lamha-e-hijrat ne kar diyaa taqsiim
nigaah ghar kii taraf hai, qadam safar kii taraf

Tuwe / Fe

Re: Bait Bazi - April 2012

faraz apni adaon ka aik dewana he kia kejae ay
ose sarey masehaon mi ek qatal pasand aaya:smack:

ALIF

Re: Bait Bazi - April 2012

is saadgii pe kaun na mar jaaye aye Khudaa
laDte haiN aur haath meN talwaar bhii nahiiN :wub:

Noon

Re: Bait Bazi - April 2012

**Na-Jaany kon Sa Aansoo kiSsi Say kia Kah Dey
Hum issi Khiyal Say Nazar Jhukaye Baithy Hain

hey/noon **

Re: Bait Bazi - April 2012

hamne jise bhi dekhaa hai tirchhi nigaah se :emmy:
taarikh hai gavaah uski hukumat chalii gayee :cobra:

Gaaf / ye

Re: Bait Bazi - April 2012

Yeh such nahin hai warna aab tuk Zardari kee hukumat chalee gayee hotee, ya phir aap unn kay supporter hain. Kahin aap AP kay multi toh nahin? :hmmm:

Re: Bait Bazi - April 2012

**ye asmaan wala hee akhir kabhi baatayega
key wafa shuaron ka hasil kyun hey tanhayi

tey/ye **

Re: Bait Bazi - April 2012

Khuda Rassi dheeli hai.. Ye swiss accounts qabar main to nahin leke jae ga, kiyunke qabar chahe aa qabristan main ho chahe Gadhi Khuda Bakhsh main, uss main tijori nahin hoti :sunnyboy:

Back to topic Gaaf / Ye se shair sunaen :rule:

Re: Bait Bazi - April 2012

tujhe akele parhoon koii ham-sabaq na rahe
maiN chaahtaa huuN ki tujh par kisii ka haq na rahe

Re / ye

Re: Bait Bazi - April 2012

**Yeh Bhi Theek Hai Kay Woh Chala Gaya Mujhay Band Raastay Par Chor Kar
Yeh Bhi Theek Hai Kay Na Aaye Ga Woh Kabhi Buut Ana Ka Tor Kar
Woh Juda Bhi Kaisay Huwa, Main Koi Rasm Bhi Na Nibha Saka
Woh Hansi Hansi Mein Hi Chala Gaya Mein Hath Tak Na Hila Saka

seen/alif**

Re: Bait Bazi - April 2012

siikhe haiN mahrukhoN ke liye ham musavvarii
taqriib kuchh to bahar-mulaaqaat chaahiye

Che/ Ye

Re: Bait Bazi - April 2012

chala tha ziker zamane ki bewafae ka
so agaya hey tumhara khayal vest he

hey/ye

Re: Bait Bazi - April 2012

***Husn kee ik ik adaa per jaan-o-dil sadqe magar*
**lutf kuchh daaman bachaa kar hee nikal jaane mein hai

hey/ye****

Re: Bait Bazi - April 2012

**hue naamvar be-nishaan kaise kaise
zamiiN kha gaii aasmaaN kaise kaise

:hinna:

Kaaf / ye
**

Re: Bait Bazi - April 2012

ye ghazi ye tere our'israar banday
jinhain tunay baksha hai zoq e khudai

'ye'

Re: Bait Bazi - April 2012

Yeh Qana’at Hai, Ata’at Hai Ke Chahat Hai Faraz
Hum Tu Raazi Hain Woh Jis Haal Mein, Jaisa Rakhe

Re / Ye

PS: Welcome :k: