Bait Bazi - April 2012

Re: Bait Bazi - April 2012

dekh be mehri ey dunia ka yi alim hi
tu bhi be yaro madadgar nazar aata hi

hey
ye

Re: Bait Bazi - April 2012

har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai
tumhii.n kaho ke ye a.ndaaz-e-guftaguu kyaa hai :aj:

jalaa hia jism jahaa.N dil bhii jal gayaa hogaa
kuredate ho jo ab raakh justajuu kyaa hai? :faizy:

Hey / Ye

Re: Bait Bazi - April 2012

yi kia ke tum bhi sare rah haal puchte ho
kabhi milo hamen bazar ke elawa bhi:blush:

BHEY/YEY

Re: Bait Bazi - April 2012

:eek:

Yahan kuch aashna bastiyan thin
Jazeeron ko samandar kha gae kia

Nahin aya mera jaan e baharan
Darakhton pe shagoofen aa gae kia

Jahan mela laga hai qatilon ka
Faraz uss shehr main tanha gae kia

Kaaf / Alif

Re: Bait Bazi - April 2012

kia kahen jab se maseeha koe aaya hi edhar
shahr ka shahar hi bimar nazar aata hi :mirch:

Re: Bait Bazi - April 2012

Hum khud bhi judai ka sabab the
Uska hi qasoor sara kab tha

Aae ho to roshni hui hai
Iss baam pe tara kab tha :wub:

Re: Bait Bazi - April 2012

us se kia taqaza ham ne ebs wafa ka
achi bhali muhabat rakh di azab ker k

kaaf
ye

Re: Bait Bazi - April 2012

yahii chehraa, yahii aaNkheN, yahii rangat nikle
jab koii Khwaab taraashuuN, terii moorat nikle

Noon / Ye

Re: Bait Bazi - April 2012

na eshq aasan na tarke eshq aasan
so ham se buzdilon ka hosla kia

KAAF/ALIF

Re: Bait Bazi - April 2012

ek uskaa saraapa hai ki bas meN nahiiN aataa
kyaa haalat ho gayii, mere andaaz-e-bayaaN kii :blush:

Kaaf / ye

Re: Bait Bazi - April 2012

kidher gaya tere kuche se phir khoda jane
MUQA ghum raha tha yahen kahen tanha;)
by AHMED FARAZ
TEY
ALIF

Re: Bait Bazi - April 2012

tamaam umr kisii bewafa ke saath rahe
mere chiraaGh hamesha havaa ke saath rahe

[Wasif Farooqi]

Re / ye

Re: Bait Bazi - April 2012

yaar kia kia tere baton ne rulaya he hame
yi tamasha sare mehfil to dikhane ka na tha

the
alif

Re: Bait Bazi - April 2012

thoRaa sa badal jaaye to bas taaj ho aur taKht
is dil ka magar kyaa kareN, sunta nahiiN kambaKht

Kaaf / Te

Re: Bait Bazi - April 2012

Kantey meri Aana key mujhe roktey rehey
Main us galii se ban ke diwana guzar gaya

Re: Bait Bazi - April 2012

aataa hai daaG-e-hasrat-e-dil kaa shumaar yaad
mujh se mere gunah ka hisaab aye Khudaa na maang

Meem / Gaaf

Re: Bait Bazi - April 2012

Mansoob thay jo log meri zindagi ke sath
aksar wohi miley hain badi berukhi ke sath
chehre badal badal k mujy mil rahay hain log
itnaa buraa ssulook meri saadagi ke saath

Re: Bait Bazi - April 2012

sulah ke vaaste bazid kyuuN ho
teer baaqii nahiiN kamaan meN kya :faizy:

Kaaf / Alif

Re: Bait Bazi - April 2012

Agar Koi Aapki Zindagi Main Khaas Nahi Hai,
**To Usse Reh-Reh Kar Ye Ehsaas Dilaya Nahi Karte

kaaf/ye**

Re: Bait Bazi - April 2012

kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chau.Nkaa diyaa
mai.n ne kahaa tuu kaun hai us ne kahaa aavaaragii