Bait Bazi — Personal Edition II

Re: Bait Bazi — Personal Edition II

U have excellent ability to prove that your mistake is actually not a mistake, its right and you know how to try to prove it's right. That is a wrong way that way you can't learn.

Aap ko samjhanay kay liay likhti hoon apni aik baat jis say main nain sabaq seekha. Jub main nain roti banana seekhi thi aur meri ammi bemar hogain to mujhay khana banana para rotian bhi banana pari meri aik aunty free ho gaeen kay unki bhi rotian paka doon wo ata goondh kay day jaya karti theen aur main unki rotian paka dia karti thee go kay bura bohat lugta tha kay free ho gaeen wo zara muft khori type ki theen apna gas bachanay kay liay aur mujh say kaam laynay kay liay. Phir unhon nain meri ammi say shikayat ki kay yay rotian sahi naheen banati beech main patli aur kinaron main moti hoti hain. Mujhay sun kar un per shadeed ghussa aya kay aik to apnay ghar ka sara kaam karna parta hai. Ammi marnay kay haal main hain wo tension alag. wo aunty ghar main apna qabza jamanay kay chukkar main unka tension alag aur phir unko roz paka kar bhi do aur wo burai bhi karti hain. Phir jub main nain socha agar main bura maan loon gi to mera nuqsaan hain unhon nain aisa daikha tub kaha na ghalti meri naheen hoti to wo kaisay burai karteen so main nain socha bajaay bura mannay kay apni ghalti sudhar loon kay ainda koi ghalti na dikha sakay jub main nain roti pakai aur aunty ki baat ka khiaal aya to roti balnay kay baad ghor kia to waqai unhon nain jaisa kaha tha sahi kaha tha so main nain ussay bail kar sahi kia aur phir taway pay dala. Uskay baad her baar roti ka jaiza lia aur phir taway pay dala. Phir kia tha doosray din wohi aunty tareef kar raheen theen. Uskay baad sub hi tareef kartay thay. To main nain socha ghalti unhon nain dikhai aur main nain sahi karli to faida to mera hi huwa. Her aik jub tareef karta tha to main her kisi ko yay to naheen batati thi kay un aunty ki nishandhi kay baad main acha pakanay lagi.

Yay hi wajah hai main un logon say naraz naheen balkay bohat khush hoti hoon jo meri ghalti dikhatain ya batatain ya nishandahi kartay hain. Main khud bhi kisi ki ghalti batanay main dair naheen karti khuwaah mujhay galian par'ain kay budduain. Kioon kay meray dil main her kisi kay liaay khuloos hota hay jo logon ko nazar naheen ata is liaay darti naheen kay khuwah makhaah ki galian aur budduain mera kuch nuqsaan naheen ponhchain gi.

ghaflat ghain say shuru hota hai aur gh say gha ki awaz nikalti hai is liay sahi tareeqa hai h lagana g kay baad.

Darasal meri aik dost hai jo urdu naheen janti lekin english janaay ki wajah say parh sakti hai laikin wo urdu kay sahi talluffuz say naheen parh sakti is liay kay sahi alfabets ka istamal naheen hota agar hum sahi alphabets ka istamal karain to her koi parh sakta/ti hai khuwah wo janta/ti hokay na ho. Jubkay jo urdu jantain hain wo to spelling mistake hokay sentnce main kafi ghaltian hon wo pura mutlub samajh jain gay unkay liay masla naheen hota. Is liay main try karti hoon kay is tarha likhoon kay her koi parh sakaay sahi tallaffuz kay saath.

Meray hisab say ghaflat ko yoon ghuflut likhna chahyay.

Allah Hafiz