**
Usse paak nazroN se choomna bhi ibadattoN maiN shumaar hay
koi phool laakh qareeb ho kabhi meiN ne uss ko chu'a nahiN
ye khuda ki dain ajeeb hay keh issi ka naam naseeb hay
jissey tu ne chaha woh mil gaya, jissey meiN ne chaha mila nahiN
**
na kisi pay zakhm ayan koi,na kisi ko fikr rafo ki hai na karam hai hum per habib ka,na nigah hum per adu ki hai na ye gham nya,na sitam nya,k teri jafa ka gila karain ye nazar thi pehlay bhi muztarib,ye kasak tu dil mai kabhi ki hai
**
Ye ishq bhi kya hay isse apnaaye koi aur
chahooN meiN kisi aur ko yaad aye koi aur
uss shakhs ki mehfil kabhi barpa ho tou dekho
ho zikar kisi aur ka sharmaaye koi aur
**