Yaroon ka kia zikr ke wafa ki talaash mein
Hum ne tu dushmano`N ko bhee dil mein basa liya
*Aaghaaz-e-aashqi ka maza aap jaanye,
Anjaam-e-aashqi ka maza hum say poochye!! *
*Ye ghum nahi hum donon aik na ho sakay
Ye runjj hai k koi darmiya`N mien bhee na tha *
ab baghbaan se koi kia gila karey
ab k tu rang-e-guk se chaman main lagi hey aag
janaan hum ahl-e-derd ki ter chshmgi na diakh
damaan ko door rekh k dilon main chupi hey aag
*Gaye dinon ka suraagh le ker kidher se aaya kidher gaya wo
Ajeeb manoos Ajnabii tha mujhe tu hairaan ker gaya wo *
Woh baRa Raheem o Kareem hai, mujhe yeh sifat bhi ata kare
tujhe bhoolne ki dua karooN to miri dua meiN asar na ho
luv this shair..:k:
*Wo jo geet tum ne suna nahi merii umer bhar ka riyaaz tha
Mere durd ki thee wo dasta`N jisse hunsii mien tum uraa gaye *
Ye khazaaN ki zard se shaam mein jo uddas pairh ke paas hai
Ye tumhare ghar ki bahaar hai, issay aansoo'on se harra karo
*Wo ik shaks mujhe sarii umer tarsay ga
Naseeb us ke ke us ne mujhe gunwana tha *
*ab apni khwaahisheN kya kya usay rulaati haiN
yeh baat ham ne kahi thi magar na maana woh *
*Hum khushbok sodagar hain aur sooda sachha kerte hien ka tum haal bhala kia janoo
Jo ghahag pholoon jaisa ho hum bin damo bikk jatay hien
Hum shehr-e-wafa ke logo
Hum dil ki choot chupatay hien aur ansoo` tuk pee jatay hien *
Na koi khaab hamarey heiN na taabeereiN heiN
hum to paani pe bani hui tasveereiN heiN
kia khabar kab kisi insaan pe chatt aan girey
qarya-e-sang hey aur kaaNch ki taameereiN heiN
"noon"
*Na janay kitne irado`N mien butt gaya hai wajood
Bhula dia hai usse aur be-Qaraar bhee hoon *..
Nazar mila na sakey us sey us nigaah ke baad
wohi hey haal hamaara jo ho gunaah ke baad
*Dost milte hien yahan dil ko dukhanay ke liye
Ungliyaan rakhte hien wo hum per uthaanay ke liye
Kis Qasoor un ka ye ik rasm chalii ayee hai
Tehmatien hotii hien duniya mien laganay ke liye .. *
Yeh chaar din kee rifaqat bhi kam nahin ay dost
Tamaam umer bhala kaun saath detaa hay
Yaad atii hai boht bazm ki ronaQ
Ye jo tanhaai ka dukh hai mera hissa tu nahi..
NafratoN ka nisaab parrh kar mohabbatoN ki kitaab likhna
bohat katthin hey khizaaN ke maathey pe daastaan-e-gulaab likhna
*Usse mae ne murr ker sada na dee ke palat gaya wo bhee
Mae khiza`N howa tu pata chala merii zaat ka wo nikhaar tha :(.. *
aap ko bhuul jaaye.n ham itane to bevafaa nahii.n
aap se kyaa gilaa kare.n aap se kuchh gilaa nahii.n
kaash vo apane Gam mujhe de de.n to kuchh sukuu.N mile
vo kitanaa badanasiib hai Gam hii jise milaa nahii.n