Bait Baazii

Yeh saja sajaya ghar Saathi meri Zaat nahiN mera Haal nahiN
Aye Kaash kabhi tum Jaan sako jo is sukh ne Aaazaar diya

*Is baat tu barishien ruktii nahi hain doston
Hum ne kia ansoo piye ke saray mosum ru paray *

Yeh Dil bohat udaas hai jab se khabar hui
Milta hai woh khuloos say har ajnabi kay sath

luv this shair.. :k:..

*Hum saadgii pasand tu boht hain lekin
Kissi ki khatir sajna acha lagta hai *

*yaa to miT jaa_iye yaa miTaa diijiye
kiijiye jab bhii saudaa kharaa kiijiye *

*

Ye maQaam-e-ishQ Talib hai barii hee sakht manzil
Hoay karwaan kaii gum mere karwa`N se pehle*

yaa rab! Gam-e-hijraa.N me.n itanaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa

*Aay dil terii aaho`N mien aser hai k nahi hai
Jo haal idher hai wo udher hai ke nahi hai
Wo jin ke liye raatien khwaab hoeen sarii
Kuch un ko bhee hamare ghum ki khabr hai ke nahi hai *

yeh sher kafi accha laga H H jee :)

*yaad hai.n saare vo aish-e-baafaraaGat ke maze
dil abhii bhulaa nahii.n aaGaaz-e-ulfat ke maze *

*Youn tu chaar Qadm pe merii manzil thee
Lekin chalte chalte Jeevan beet gaya
*..

*aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah
haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah *

Hairat na kijiiay yeh usool-e-tazaat hai
Dhoka wahin pe hoga jahan aitemaad hai

*yahii haalaat ibtadaa se rahe
log hamase Khafaa Khafaa se rahe *

Ye jo hum hijr mein diwaar-o-dar ko dekhate hain
kabhi saba ko kbhi namawar ko dekhate hain.

Nahi khel Aye Daagh, yaaroN say keh do
Kay ati hai urdu zabaan atay atay!

*ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ki Gu.Nche khil to sake khil ke muskuraa na sake *

YahaaN kisi ko koi raastaa nahiN detaa
Mujhey giraakey agar tuum sambhal sako tow chalo

Kisi ke waastey raaheN kahaaN badalti haiN
Tuum apne aap ko khud hee badal sako tow chalo

"wo"

Woh badalta hai to baysakhta meri ankhen
Apnay hathon ki lakeeron say ulajh jati hain

nahi ab to koi malaal bhi, kisi waapsi ka khayaal bhi
gham-e-be'kasi ney mita diya merey dil meiN tha bhi agar koi

"ye"

*Na pocch pach thee kissi ki na thee aou-baghat
Tumharii bazm mien kul ehtamaam kis ka tha
Hamare tu khat ke puzre kiye parha bhee nahi
Suna jo tum ne baddil wo pyaam kis ka tha

*