Woh safar mein tha kuch aisa hamsafar us ka na tha
Dhoop thi aur raah mein koi shajar us ka na tha.
*
Ab tu aaja merii jaan ke janaza uthne ko hai
log tu ghairon ko bhee dafnanay chalay aatay hein *
Na jaane kitne safeenon ko khayega dariya
ghazab ke josh pe hai moj bekaraN ab bhi.
Ye bhee acha hai nibhaai us ne ghairr se wafa
be-wafaii per bhee mujh ko be-wafa acha laga...
*aa ke ab tasliim kar le.n tuu nahii.n to main sahii
kaun maanegaa ke ham me.n bevafaa ko_ii nahii.n *
*Na farishta ho na farishton jaisa ho
Mujhe talaash hai jis ki wo mere jaisa ho
Mere khuloos ko pehchannta ho itna hee kafii hai
Wo koi bhee ho kaheen bhe ho kaisa ho... *
*wafaa kee raah mei.n tum ab shareeq ho kaise
ae bevafa bataa kisne dagaa diyaa hai tumhein *
*Na janay kia kamii thee mere pyaar mein
k pal bhar mein tum ne is dil ko toor diya.... *
**aa.Nkh juub band kiyaa karate hai.n
saamane aap huaa karate hai.n
aap jaisaa hii mujhe lag-taa hai
Khvaab me.n jis se milaa karate hai.n **
*Na mae pas us ko bula saka na mae dil ki baat bata saka
Wo hunsii hunsii mein chal diya mae haath tuk na hila saka... *
**aaker tumhari shaam-e-gham ki zulmatein na mit sakein
tumhara farz hai falak se maahtab cheen lo **
woh jiss ki aik pal ki bay-rukhi bhi dil ko haar thee
ussey khud apney haath se likha k mujh ko bhool ja
*Aankh thi sooji hui aur raat bhar soya na tha
Is tarah woh toot kar shayad kabhi roya na tha *
aisa kiyoN hai k jaaney se sirf aik insaan k
saree duniya hi bay-sabaat ho jaaye
*Yadon ki is dor se dekho har koi bandh jata hai
teri yadon ko sun kar mujhe bhi koi yaad aata hai *
Ya khuda loog banaaye thay ager pather k
meray ehsaas ko sheesha na banaya hota
agar is dard ko denaa hee bas mohabbat thee
yaQee.N maano ki tum hargiz bhee bewafa naa the
YoN tu patHar ke bhe taqdeer badal sakti hai
shart ye hai k usay dil se tarasha jaye
"ye"
*Ye fasaana nahiN haqeeqat hai
K hameiN aap se mohabbat hai *
Ye bhi durust hai k meiN tujh ko bhula chuka
ye bhi ghalat nahi k meri zindigi hai tu