Bait Baazi

Re: Bait Baazi

ab mera pyar tere pyar ka haqdar nahi
mi tere gesu-o-rukhsar ka haqdar nahi

noon/yey

Re: Bait Baazi

**nihaal-e-fiqr kii shaakhein namuudaar
qalam hokar bhii kyaa gulnaar nikalii

noon/ye**

Re: Bait Baazi

na dawa miley na duaa miley tere dil men dard utha kare:eek:
tu jo mout ki karey arzu teri umer aur darazz ho:smack2: :omg:

hey/wao

Re: Bait Baazi

**ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa :crying:

Alif**

Re: Bait Baazi

ek shab bul_bul-e-betaab ke jaage na nasiib
pahaluu-e-gul me.n kabhii Khaar ne sone na diyaa
daal/alif

Re: Bait Baazi

dhundti phirte he dasht-o-bayanban mei hame
zindagi hum se bichar ker khud bhi pachta bohat

bey/tey

Re: Bait Baazi

Tumhain kya khabar jana hum udaas logon par,
Shaam ke sabhi manzar ungliyan uthatay hain

Re: Bait Baazi

Hamari qismat mein sb kch hai, magar Phoolo'n k siwaa
Tum agar phool na hotey ........ tou hamarey hotey....!!!

Re: Bait Baazi

hum to mhbat mmain bhi toheed kay qail hia faraz
aik hi shaks ko apna mehboob bana rakha hay

hey/yey

Re: Bait Baazi

ye dariya zabt ka ab dheeray dheeray
meri aankhoN say behnay lag gaya hai
jahaaN par dil huwa karta thaa pehlay
wahaN ab dard rehnay lag gaya hai..

'he' ye'

Re: Bait Baazi

Yadon ki barishein hein is dil mein lagi hui
Aankhon ke mosmon pe udasi ka dour hai

Re: Bait Baazi

:omg: sorry :hehe:

Re: Bait Baazi

ہر دم کسی تھی متلاشی نگاہِ دوست
میری طرح عزیز مشقت اسے بھی تھی

Re: Bait Baazi

Tukry tukry aik dil hi paish kr sakta hoon main
Koun aaye ga meri is dawat-e-sheraz mein

Re: Bait Baazi

pk :emmy:
where is last word:cheer:

NASiR hamko rat mila tha tanha orr odas:@:

woh purani baten usk wohi purana roog:smack:

REY/GAAF

Re: Bait Baazi

**Gamo.n ne gher liyaa hai mujhe to kyaa Gam hai

mai.n muskuraa ke jiyuu.Ngaa terii Khushii ke liye

kabhii kabhii tuu mujhe yaad kar to letii hai

sukuun itanaa saa kaafii hai zindagii ke liye

laam/ye**

Re: Bait Baazi

lo ja raha hun qedey anasar ko tor k
pehla sabut hey mere ikhtiaar kaa

kaaf/alf

Re: Bait Baazi

**kya kahun wo kidher nhi rehta
han magar iss nagar nhi rehta

tu ho,tera khyal ho ya khwab
koi b raat bhar nhi rehta...
ray/alif**

Re: Bait Baazi

All the poetry lines are awesome . I like this section too much .

Re: Bait Baazi

Aaj to besabab udaas hai ji
Ishq hota to koi baat bhi thi