Bait Baazi

Re: Bait Baazi

**teraa Khayaal dil se mitaayaa nahin abhi
bedard main ne tujh ko bhulaayaa nahin abhi

alif/ye
**

Re: Bait Baazi

is shehr-e-kharabhi main gham-e-ishq ke mare
zindaa hain yehi baat baRi baat hai payar

pey/ye

Re: Bait Baazi

**
phir yaad tujhay kar ke ye nain baraste hain
jab shaam dhalay dard ka utthe koi baadal
is dil sey koi poochhay ye zeest kati kiyoon kar
jab jaan ye shikasta thi dil ghum se tha ghayal**

Re: Bait Baazi

*Geelay kaghaz ki trah hai zindgi apni
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi
Is qadar akele ho gaye hain k
koi stata bhi nahi koi manata bhi nahi *

Re: Bait Baazi

Na koi ilzaam, Na koi tanz, Na koi ruswai Mir,
din bohat hogaye yaron ne koi inayat nahi ki…….!!

Re: Bait Baazi

me abhi abhi cafe mein inayat kr k to aa ra hoon :D

Re: Bait Baazi

Kabhi pegam e ulfat kabhi teri bad gumani
Teri ye b mehrubani teri wo b mehrubani

Re: Bait Baazi

one of my fav

mi osko kho k yun roya

jese bacha koe sare sahal

reit mi sepian ganwa bethey

BEY/YEY

Re: Bait Baazi

Bhool jaaney mein wo zalim hai bala ka maahir
Yaad aaney pe bhi aaye to ghazab yaad aaye

Re: Bait Baazi

last word kabi na lkhna @PK:emmy:

aap hamrey kisi tara na huey
verna dunia mi kia nahi hota

hey/alif