Bait Baazi - Sep-10 Edition

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

*Na-jaane kaun sa aansoo kisi se kya keh de
Hum issi khayal se nazrain jhukaaye bethay hain ...
*
Next: "Noon"

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

namoos mohbt pe ilzaam na aajaye,
Iss dr se raqm apni rudad nhi krtey.

yeh

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

Yaad ki jheel mein sab kashteyaan jala daina
Itna asaan nahe logoon ko bhula daina ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

apni tnhai tere naam pe aabaad krey,
kon hoga jo tujhe iss trha yaad krey.

yeh

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

Yeh muhabbat ek haseen tohfa hai ay dost
Kabhi muhabbat ko is tarah bhi nibha kar dekh ...

Next: "Hay"

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

Hum ko unse hai wafa ki ummeed,
Jo nahi jaante ki wafa kya hai....?

yeh

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

nice

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

*Yunhi mausam ki ada dekh kar yaad aaya
Kis qadar jald badal jaatay hain insaan jaanaan ...
*
Next: "Noon"

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

Nikhat-E-ZULF say Neendoo'n Ko BASSA Day AA kar
MERI JAAGI Hoi Raatoo'n Ko SULLA Day AA Kar

ZOAQ-E-Nadeed Mai'n Lazzat Hay Magar NAAZ Nahi'n
AA MERE ISHQ Ko MAGROOR Banna Day AA Kar…!!!

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

Raahoon mein hi milay thay hum raahain naseeb ho gaeen
Tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gaye
Waqt hi teri judai ka kuch is qaddar taveel thaa
Dil mein tere visaal ke jitnay thay zakhm bhar gaye ...

Next: "Ye"

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

Yeh kaun log andhairoon ki baat kerte hain
abhi tu chand teri yaad k dhale bhi nahi.....!

noon

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition


Na aunga na milunga na khat likhunga tujhe
Teri khushi ke leye khud ko har saza dunga ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition

apney parwanon ko phir zoq e khud afrozi dey,
barq e daireena ko farman e jigar sozi dey

"ye"

Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition


Yehi dastoor-e-duniya hai 'Sagar' shikwa kis se karain
Mujhe hansa ke phir rula diya mere dostoon ne ...***

Next: Ye