Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
*ye ziNdagi khabi khabi ajNabi si lagti hay
terey bager her khoshi bhuji bhuji si lagti hay
*
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
*ye ziNdagi khabi khabi ajNabi si lagti hay
terey bager her khoshi bhuji bhuji si lagti hay
*
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Yeh samandar hai to phir rooh ko sairaab karey
Tishnagi Kion Mujhay Deta hai, saraabon ki Terha
"Hay"
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Her rastay maiN apni aana ki faseel thi
Aik mukhtasir safer ki kahani taweel thi
Ubhra main doob ker to mo'ater tha sara jism
Jaisay wo aankh hi koi khushboo ki jheel thi
" Yay "
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
^ It's a great one Sheal.
Her rastay Main apni anaA ki faseel thi
Aik Mukhtasir Safer Ki kahani taweel thi.
Very nice, deep and love it. :)
We just need to differntiate between 'Halwa'/Haleem wali Hay and 'haathi' wali hay.
Ye Muajza Bhi Muhabbat Kabhi Dikhaaye Mujhey
Ke Sung Tujh Pe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhey
"Yay"
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Who said this? Does not make sense and both misray are unrelated. Anyhow...
Ye kis Khalish Ne Phir is Dil mein Aashiyaanaa Kiya Phir Aaj kis Ne sukhan Hum Se Ghaayebaanaa Kiya
"Alif"
mera tu khyal hain dono bohat inter related hain....jis nay bhi kaha hai bohat khoob kaha hai.......
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
mera tu khyal hain dono bohat inter related hain....jis nay bhi kaha hai bohat khoob kaha hai.......
No argument but still disagree with respect.
Just remember I objected to this shayr said by someone unknown to me.
ap ijazat to dayn takallam ki
vo guftgu kia jo ba asar na hue
To keep the flow and spirit of bait baazi, No further discussion from me.
I am available to discuss further via PM or in another thread you are free to start. Thanks. :)
The next hurf is still 'Yay'.
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
mera tu khyal hain dono bohat inter related hain....jis nay bhi kaha hai bohat khoob kaha hai.......
No argument but still disagree with respect. Just remember I objected to this shayr said by someone unknown to me.
ap ijazat to dayn takallam ki vo guftgu kia jo ba asar na hue
To keep the flow and spirit of bait baazi, No further discussion from me. I am available to discuss further via PM or in another thread you are free to start. Thanks. :)
The next hurf is still 'Yay'.
[mod] **Please disscus this issue via PM or you can use time pass thread.
any post which is not related to bait bazi will be deleted.
thanks
[/mod]
**
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
^ It's a great one Sheal.
Her rastay Main apni anaA ki faseel thi Aik Mukhtasir Safer Ki kahani taweel thi.
Very nice, deep and love it. :)
We just need to differntiate between 'Halwa'/Haleem wali Hay and 'haathi' wali hay.
Ye Muajza Bhi Muhabbat Kabhi Dikhaaye Mujhey Ke Sung Tujh Pe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhey
"Yay"
you are right but i guess us say shair post kernay main kafi dushwari ho jay gi :P
Yahan kisi ko hamara malal hai keh nahiN
yay baat apni jagah ek sawal hai keh nahiN
Khushi k sath bicharna na aankh nam kerna
Khao yay kar-e-azeeyat kamal hai keh nahiN
" Noon "
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
***Na jaane kyon hai, lekin dekhnay ki tum ko aadat hai
Meri yeh be-wajah aadat churaa do phir chale jaana ...
Next: "Alif"
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
you are right but i guess us say shair post kernay main kafi dushwari ho jay gi :P
^ I know. That's OK. :)
Ab na wo Main Hoon Na Tu Hai Na Woh Maazi Hai Faraz
Jaise Do Saaye Tamanna ke Saraabon Mein Milen
"Noon"
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
na cheeroo dardmandoon ko najanay dil say kia niklay....
bhala niklay, bura niklay ya baad-dua niklay....
"yeh"
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Yehi dil thaa ke tarasta thaa marasim ke leye
Ab yehi tark-e-ta'aluq ke bahaanay maangay
Zindagi hum tere daaghoon se rahay sharminda
Aur tu hai ke sada aaina-khaanay maangay ...
Next: "Ye"
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Yay din yay raat yay lamhay achay lagtay haiN
Tumhain soochooN to saray silsilay achay lagtay haiN
Bohot dour tak chalna mager phir bhi waheen rehna
Mujhay tum sya tumhi tak faslay achay lagtay haiN
" Noon "
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Na jaanay kaun sa aansoo kissi se kya keh day
Hum issi khayal se nazrain jhukaaye bethay hain ...
Next: "Noon"
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Na sawaal bun kay mila karo, na jawaab bankay mila karo
Meri zindagi Eik khawab hay, mujhy khawab ban kay mila karo
"wow"
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Na sawaal bun kay mila karo, na jawaab bankay mila karo Meri zindagi Eik khawab hay, mujhy khawab ban kay mila karo
"wow"
i think correct yeh hai.....kion k may nay jo nusrat ki awaz may yeh ghazal suni hai us may yehi use kiya hai us nay....
Meri Zindagi Mere Khawab Hain,mujhy khawab ban kay mila karo
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
^ Thank you. :)
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
wo terey pass se chup chap guzar geya kaisey
dil-e-baitaab qayamat kyun na utha di tu ney..
yeh
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Yun tau syed bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho batao tau muslamaan bhi ho ...
Next: "Wao"
Re: Bait Baazi - Sep-10 Edition
Voh KHUDA maanind Insaan POOJTA hay
Iss tarah ke MUJH pay kuch ILZAAM hain…!!!
noon