BAIT BAAZI PART IV

Re: BAIT BAAZI PART IV

Muhabbat main teri dono jahan haar k
Wo ja raha hay koi shab e gum guzaar k
Weeran hay maai kada gamo sagar udaas hain
Tum kya gaye rooth gaye din Bahar k

Re: BAIT BAAZI PART IV

Chautt lagti hay to aik dil pay hee naheen mauqoof:)
Hum nay daikha hay k paththar bhi sada daytay hain

Re: BAIT BAAZI PART IV

Bicharr k us say udaas hoon buhat main bhi
Sunaa hay wo bhi bari uljhanoon main rahtaa hay

Re: BAIT BAAZI PART IV

ankhoo se meri ansoo bhethay hai
kash ka kabbhi us na bhi ya ansoo dhekhay hotay

Re: BAIT BAAZI PART IV

zindagee meri guzaratee ja rahee hai inhee tanhayoo mein
kia tumhay meri yaad na kabhi sataya nahi inhee tanhayoo mein

Re: BAIT BAAZI PART IV

Nairangi-e-siasat-e-doraan to dekhiay
Manzil unhain mili jo shareek-e-safar na thay

Friend4u4ever

Re: BAIT BAAZI PART IV

Ye to sach hay chup rehnay se pagal pan baRh jata hay
Pathar ke is shehr main lekin aakhir kis se baat karain

Ranaaie e Khyal

Re: BAIT BAAZI PART IV

Nikal partey haiN aansoo jub tumhari yaad aate hay
ye woh barsaat hay jiss ka koi mousum nahiN hota

Re: BAIT BAAZI PART IV

Aik muddat say meri Maan nahi so'i Tabish
Mein nay aik bar kaha tha, Mujhay darr lagta hay :(

Re: BAIT BAAZI PART IV

Ye sooch hay ager yaqeen hota palaT kay terey aaney ka
tou phooloN ki tarha hum bhi teri raah maiN bikher jaatey

Re: BAIT BAAZI PART IV

Yon to hotay hain mohabbat main junoon ke aasaar
Aur kuch log bhi dewana bana daitay hain

Friend4u4ever

Re: BAIT BAAZI PART IV

Dil judaa hoon to mulaaqat say kya haasil
Yun to sehraa bhi sumandar say milla kartee hain

Re: BAIT BAAZI PART IV

Kabhi daikhi hay pholoon say juda hotay hovay khushboo
** MOHABBAT** jis kay dil main ho woh harjai naheen hota:blush:

Re: BAIT BAAZI PART IV

Hum se Mohabbatton ki numaish na ho saki
Han itna jaantay hain tumhain chahtay hain hum

Friend4u4ever

Re: BAIT BAAZI PART IV

Sar shareei WAFA ki kiya yeh INTIHA naheen
JEEVAN tha aik woh bhee teray naam kardiya..:blush:

Re: BAIT BAAZI PART IV

Baarha dil ne ye aawaaz suni aur chaha
Maan loon mujh se jo wijdaan mera kehta hay
Lekin is ijz se haaraa meray fun ka jadoo
Chand ko chand se barh ker koi kia kehta hay

By Ahmed Faraz

Ranaai e khyal

Re: BAIT BAAZI PART IV

YooN bhi hoga woh mujhey dil se bhula de ga
ye bhi hoga khud ussi maiN aik kha'la reh jaaye ga

Re: BAIT BAAZI PART IV

Ab ke saawan main bhi zardi na gaai chehroN ki
Aisay mosim maiN to jaNgal bhi hara lagta hay

Friend4u4ever

Re: BAIT BAAZI PART IV

Yon hi mosum ki ada daikh ke yaad aya hay
kiss qadar jald badal jate hain insaN janaN

Re: BAIT BAAZI PART IV

Zehnoon say kashtyoon ki rewayat nikaal day
Muthi main bund kar k sumandaar uchaal day