BAIT BAAZI PART IV

Cinderella!
Tasweer to waqae aachi thi laikin itni lal kyoon thi (ghusay say ya sharam....)

Us ke dushmem hain bohat aadmi acha hoga
wo bhi meri hi tarah shah'r mein tanha hoga.

(Alif)

ab isay log samajhate hain giraftaar meraa
sakht nadim hai mujhe daam mein laanevalaa

kyaa kahein kitney maraasim they hamaaray is say
wo jo ik shakhs hai muunh pher ke jaanevalaa

to add to the tragedy....hehe

aghosh sadaf jin kai naseebon mein nahin hai
wo qatara-e-neesaa(n) kabhi banta nahin gohar

Rah e wafa main koi akhari maqam nahi
Shikast e dil ko mohabat ki inteha na samjh
Her aik sahib e manzil ko bamurad na jan
Her aik rah nasheen ko shikasta paa na samjh

ham bay-rahabaro(n) kaa kyaa
saath kisi kay ho lain gay

jeevan zehar bharaa saagar
kab tak amrit gholaingay

neend to kyaa aaegi Faraz
maut aai to so laingay

Yeh kon phir say unhee raastoN maiN chorr gaya
Abhi abhi to azaab-e-safar say niklaa tha.

Yeh kon phir say unhee raastoN maiN chorr gaya
Abhi abhi to azaab-e-safar say niklaa tha.

agar lahoo hai badan mein to khof hai na haras
agar lahoo hai badan mein to dil hai bay waswaas......(Iq)

Last alphabet is "seen"

Seen, Saroo da boota (christmas tree)
hawa chalay pur dolda (move) nhin
aisay mehboob tay laanat paijo!
Awaz maro pur bolda nhin ;)

BoSS

Nisaar maiN teri gliyooN pay Ae watan kay jahan
Chali hay rasm kay koi na sar utha kay chalay
Jo koi chahnay wala tawaf ko niklay
Nazar chura kay chalay, JaaN bacha kay chalay. (Faiz Sahab)
(yey)

Yeh kainat chupatee nahin zameer apna
keh zarey zarey meun hai zok-e-aashkarai

kuch or hee nazar aata hai karobar-e-jahan
nighah-e-shok ho agar shareek-e-beenai!(Iq)

Hi :)Baaz dil barre hayaa'dar hote hain, mohabet ke baghair dharakna nahi jante ..muje yaqin to nahi tha, laikin chalte chalte dil rukh gia ..kuch sansoon ka karz baqi tha ... aankh khul gai hai ... its a new life Allah kare dil is baar bhi hayaa'dar hi ho

Aaj us ne mizaaj poocha tha
jee main aya, is qadar keh doon
aap ki be'aetinayoon ke sabab
Zindagi mouth se bhi bad'tar hai
per nahi, kuch nahi kaha main ne
woh narum dil ka maliq hai
baat sunn'ta uddas ho jata
haan magar iss'qadar kaha main ne
Hall pehlay se kuch to bihtar hai :)

(yee)
yeh khon hai jo meri chashme tar main rehta hai
Ajeeb shakh'ss hai pani ke ghar main rehta hai

Azad....you're back :)
May you recover soon.

yeh agar aain-e-hastee hai key ho har shaam subh
marqad-e-insaan kee shab ka kyoon na ho anjaam subh.

Welcome Back Azad!!! :)
Buddy, u should forget about ur "thinkpad" for a few days and get some serious rest! U need it!!!

hatto chorro in dukh bhari batoon ko
khushi ki khaber hay, chalo sub ko sunaein
nai zindagi buhut mubarak ho Azad
rotay to roz hain, chalo aaj zara muskuraein

Thanks M.raja and Hayaa :)

Na haath thaam sake, na pakarr sake damen
Bohot qareeb se ut'h kar chala gia hai koi

yoN khilwat-e-khiyal maiN A-na ghaRi ghaRi
ach-cha nahieN hai dil ko satana ghaRi ghaRi

A-ja-O kash wasal ka wada wafa to ho
deta nahieN hai zaib bahana ghaRi ghaRi

ye bhi mizaj-e-yar ki ek kaifiayt si hai
sham-meiN bhuja bhuja ke jalana ghaRi ghaRi

ye bhi iztirab ki zinda misal hai
A-na kabhi kabhi, ya bulana ghaRi ghaRi

yoN khilwat-e-khiyal maiN A-na ghaRi ghaRi
ach-cha nahieN hai dil ko satana ghaRi ghaRi

A-ja-O kash wasal ka wada wafa to ho
deta nahieN hai zaib bahana ghaRi ghaRi

ye bhi mizaj-e-yar ki ek kaifiayt si hai
sham-meiN bhuja bhuja ke jalana ghaRi ghaRi

ye bhi iztirab ki zinda misal hai
A-na kabhi kabhi, ya bulana ghaRi ghaRi

Starting from ye:
ye sheher sumudar kay kinaray per hai abaad
iss sheher main rehna ho to oqaat main rehna.(Iftikhar Arif)
(alif)

Iss kusrat-e-ghum per bhi mujhay hasret-e-ghum hay
jo bhar kay chhalak jaey woh paimana nahin hon!

Na dekh kay kya hall hai mera teray peechay
Ye dekh kay kya rung hai tera meray aagay...
ghalib
(ye)