Bait Baazi - October

Re: Bait Baazi - October

yeh keh kar dil ney merey hosley barhaey hain
ghamoo’n ki dhoop ke aage khushi ke saaye hain

hay/noon

Re: Bait Baazi - October

Hum na hon gay tujhay kon sada day ga
Hum faqeeron ko nigahon say giranay walay

laam / ye

Re: Bait Baazi - October

**laai hayaat aaye qazaa le chalii chale **
**na apanii Khushii aaye na apanii khushii chale

che/ye**

Re: Bait Baazi - October

chahat-e-jaan, ehsas-e-wafa yeh batain jhoti batain hain

anjam-e-muhabat kuch bhi nahi, tanha din aur ratain hain…

hey/noon