Re: Bait Baazi - October
**ye kin nazaron se tum ne aaj dekhaa **
**ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye
jeem/ye **
Re: Bait Baazi - October
**ye kin nazaron se tum ne aaj dekhaa **
**ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye
jeem/ye **
Re: Bait Baazi - October
Jo tumharay apnay hon tumhain yaad kartay honUn ka haal kesa hay kuch pata to rakhtay hain
Dosti k rishtay ko tortay nahin aisay
Roothay doston say bhi wasta to rakhtay hain
hay
Re: Bait Baazi - October
Jo tumharay apnay hon tumhain yaad kartay honUn ka haal kesa hay kuch pata to rakhtay hain
Dosti k rishtay ko tortay nahin aisay
Roothay doston say bhi wasta to rakhtay hain
hay
Re: Bait Baazi - October
**Hum hain mushtaq aur qoh bezaar
ya Elahi yeh majra kya hai
hey/ye**
Re: Bait Baazi - October
Ye dilbari, ye naaz, ye andaz ye jamal
Insan karay ager na teri chah kia karay
Kaf / ray
Re: Bait Baazi - October
raaton mein gar na ashk bahaauun to kyaa karuun
**ik pal bhii us ko bhuul na paauun to kyaa karuun
kaaf/noon**
Re: Bait Baazi - October
hy.ye
Re: Bait Baazi - October
**hum ashk judaai ke girane hii nahin dete **
**bechain sii palaon mein motii se pirote hain
hey/noon**
Re: Bait Baazi - October
na tassawar batan, na haseenun kay khatoot,
baad marney k meri jaib se Quran nikla
noon/alif
Re: Bait Baazi - October
**naa muhabbat naa dostii ke liye **
**vaqt rukataa nahin kisii ke liye
laam/ye**
Re: Bait Baazi - October
Lo galay paray kantay
Q gulon ki khawhish ki
kaaf / ye
Re: Bait Baazi - October
ye aur baat terii galii mein na aayein hum
**lekin ye kyaa ki shahar teraa chhor jaayein hum
hey/meem**
Re: Bait Baazi - October
main bhi boht ajeeb hoon,itna ajeeb hoon k bas
khud ko bhi tabah kar liya aur mallaal bhi nahin
noon/noon ghuna
Re: Bait Baazi - October
naa muhabbat naa dostii ke liye
vaqt rukataa nahii.n kisii ke liye
laam/yey
Re: Bait Baazi - October
Lay day k ab yeh hi hay nishan e zia Qateel
Jub dil jalay to is ko dia keh lia karo
ray/wao
Re: Bait Baazi - October
**raushan kahin bahaar ke imkaan huye to hain **
**gulashan mein chaak chand garebaan huye to hain
hey/noon**
Re: Bait Baazi - October
**na armaan dil mein hai koi na khushiyan rahiin baaqi
ye kis ne kar diya humko ghamoon mein mubtilaa yaaro
**
yay/vow
Re: Bait Baazi - October
**yaaro mujhe mu’aaf karo main nashe mein huun **
**ab thorii duur saath chalo main nashe mein huun
hey/noon**
Re: Bait Baazi - October
hamain khaber hay k kia kia hain hijraton k sawab
Jo dukh uthaye hain hum nay wo hum hi jantay hain
hey / noon
Re: Bait Baazi - October
**hosh mein aa chuke thay hum josh mein aa chuke thay hum **
**bazm kaa rang dekh kar sar na magar uthaa sakey
seen/ye**