Bait Baazi Month Of October 2010

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Nit na'ay chehray kisi ki aankh maiN jachtay nahiN
Wo akela shakhs saray shehr ka armaan tha

" Alif "

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

aya hi tha yaad kay ankhain chalak gaye ansoo kisi ki yaad mai itnay kareeb hain

Ye:chai:

sheal kasi ho?

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

aya hi tha yaad kay ankhain chalak gaye ansoo kisi ki yaad mai itnay kareeb hain

Ye:chai:

sheal kasi ho?

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yeh saaneha bhi muhabbat mein baar-ha guzra
Ke us ne haal bhi poocha tau aankh bhar aae ...

Next: "Ye"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yay dil ka chor keh is ki zaroortaN theeN bohot
Wagerna tark-e-taluq ki soortaiN theeN bohot
Dareeda pairhanooN ka khyaal kia aata?
Ameer-e-shehr ki zaroortaiN theeN bohot

" Tay "

main theek hoon shaboo bas yahan ka internet bas Allah hi isay chalay. tum sunaoo kahan ho?

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Talaash jis ki rahi umer bhar wohi na mila
Aur bichar ke mujhse mera yaar phir kabhi na mila
Khuda ki itni bari kayenaat mein mein-ne
Bas ek shaks ko chaaha magar wohi na mila ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*ek shakhs joo rehta hay dil main meray dherkan ki terha
woh poochta hay mujh say kay tu mujhay itna chahta kyoun hay *

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yahi samjh lo humaiN tum keh ab aik musafir haiN
Jo chaltay chaltay kaheen tham rahay, rahay na rahay
Nazeer aj hi chal ker botooN say mil lijiyay
Phir ishtiaq ka aalam rahay, rahay na rahay

" Yay "

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

yeh ghaRi mehshar kee hai, tu arsa-e-mehshar main hay
pesh kar Ghaafil, amal koi agar daftar main hay

ye

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*Yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
Jab inn ki yakh bas'tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna
*

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

ajab andaz mai guzri hai zindagani apni diloo'n pay raj kia phir bhi pyar ko tarsay

ye :chai:

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

ajab andaz mai guzri hai zindagani apni diloo'n pay raj kia phir bhi pyar ko tarsay

ye :chai:

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yaad aatay ho kis saleeqay say
Jaisay barish ho waqfay waqfay say

" Yay "

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yeh ishq hai, awaargi hai ya be-khudi hai 'Tahir'
Khud ko bhool chuka mein nahe bhoola tere shehar ka rasta ...

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Ab na wo manzar na wo chehray nazer aatay haiN
Mujh ko maloom na tha khwaab bhi mar jatay haiN
Janay kis haal maiN hum haiN keh humaiN daikh k sab
Aik pal k liyay ruktay haiN guzar jatay haiN

" Noon "

Re: Bait Baazi Month Of October 2010




Na Janay Ashk Say Aankhon Main Kyun Hain Aa'ey Hovay

Guzar Gayaa Zamanaa Tujhay Bhula'ey Hovay

Na Raah-Zanoo'n Say Rukay Raastay Muhabbat Kay

Woh Qaaflay Nazar Aa'ey Luttay Lutta'ey Hovay

Yay

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Yay ilm ka sooda, yay risalay, yay kitabaiN
Ek shakhs ki yadooN ko bhulanay k liyay haiN

" Noon "

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

http://www.hallagulla.com/urdu/photo/data/1530/saza_copy.jpg

Nazar andaaz karne ki saza deni hi thee tujh ko
Tere dil mein uttar jana zaroori hogaya thaa …*

Next: “Alif”

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

*Ankhoon mein raha dil mein utar ker nahi daikha *
*kashti k musafir nai samudar nahi daikha *
*Pathar muje kehta hai mera chaney wala *
*main maum hoon uss nai muje choo ker nahi daikha *

Re: Bait Baazi Month Of October 2010

Aik chand tanha khara raha, tere aasman se zara paray,

tere saath saath safar main tha, teri manzilon se zara paray