Bait Baazi Month Of October 2009

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Yaad kar ke mujhe, namm huii hon gi palkein uski..
aankh mein kuch parr gaya, yeh keh kar taala hoga

Alif

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

***Ab kyun na zindagi pe muhabbat ko vaar den
is aashqi men jaan se jana bahut hua


Aafat kii shoKhiyaa'N haii'n tumhaarii nigaah meii'n
mehashar ke fitane kehlatay haii'n jalwa-gaah meii'n

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

apnay gham ko kaho her waqt mere saath rahain
ek ehsaan kero, is ko musalsal ker do

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Woh jis ka harf-e-dua roshini hai maire liye
main bujh b jaaun tou maula ujaal de usko

wao

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

**Wo saamne hai magar tishnagi nahin jaati
ye kya sitam hai ke darya sarab jaisa hai *
*


Yaa Bhi Hay Tamana K Usay Dil Say Bhula Dain
Is Dil Kau Magar Us Ki Zarorat Bhi Bahat Hay

ye

yaar bin talKh zindaganii thii
dostii mudda_ii-e-jaanii thii

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

yeh apne ishq ki masti hai warna aey saaqi`
nasha sharaab mein hota tou nachti bottle

laam

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Log toot jate hen ik ghar banane men
tumhen taras nai ata bastiyan jalane men

*nigaaho.n ne dekhii muhabbat ne maanii
terii bemisaalii terii laajavaabii *

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

**Ye faisla to shayad waqt bhi na kar sake
sach kaun boltaa hai adakaar kaun hai *
*

Yeh hajoom e sheher e sitam giran na suney ga teri sada kabhi meri hasraton ko sukhen suna meri khawahishon sey khatab kar

Ray :chai:

roshnii jis se utar aay'ii lahuu mei'n mere
aii masiihaa vo meraa zaKhm-e-tamannaa hogaa

inhi pathroo'n par chal kar asakoo to aoo meray ghar kay rastay mai koi kehkishaa'n nahi hai

ye :chai:

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Yaqeen rakhta nehin mein ksi kacchy talauq pe
jo dhaga tootny wala ho us ko toor deta hoon

*na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa
na aiitabaar-e-jahaa.N haii qariib aa jaao *

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

***Wo saanp se bhi khatarnak admi ho ga
jo dil se dil to milahe nazar mila na sakey

Ye***

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

ye kis ne kaha hai merii taqadir bana de
aa apane hii haathoon se miTane ke liye aa

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

**Apni beeti jag beeti hai, jab se dil ne jaan liya
hanste hanste jeevan beetaa rona dhona bhol gaya *
*