Bait Baazi Month Of October 2009

**Rules of Bait Bazi:

1.** Shair should be genuine and not your own. Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.

2. Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.

3. Always mention the last urdu alphabet of your shair.

**4. **If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).

5. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.

Last Sher Was posted by terenaam

Yaadein Tanhai aur Beeta mausam
Kia kahoon kis nay sataya mujh ko

**
wow

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

**salaam

bahooot Khoob silsila shuru kiyaa hai aapne aur ham aapke mamnoon o mutashakkir haiN

ek muKhlisaana mashwarah denaa chaahtaa thaa gar qubool uftaad. aapne farmaayaa k aglaa she'r guzishta diye gaye she'r ke aaKhirii lafz ke aaKhirii Harq se aglaa she'r denaa hogaa aur yehii saHeeH aur rivaayatii tareeqa hai khel kaa magar mere tajrabe, jitnaa kam hai, uske lihaaz se is tareeqe se khel meN mazaa nahiiN aataa kiuN k kuchh der ke ba'd har she'r kam o besh alif, yey, noon par hii TooTte hai aur phir har she'r inhiiN Hurooof se diye jaayeN to bilkul bhii mazaa nahiiN aataa.

meraa mashwarah hai k she'r ke aaKhirii lafz ke pahle Harf se she'r diye jaayeN to bahtar hogaa aur bahooot lutf aayegaa. maiN muta'addid deegar taKhtii e paiGhaamaat par yeh khel aise hii khel chukaa huN.

misaal:

aalaam-e-roz_gaar ko aasaaN banaa diyaa
jo Gham huaa use Gham-e-jaanaaN banaa diyaa

is she'r meN aaKhirii lafz hai diyaa aur uskaa pahlaa Harf hai daal so aglaa she'r Harf e 'daal" se denaa hogaa :)

wassalaam
_______Hashmat**
<!--Session data-->

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Dil K Lutney Ka Sabab Poch Rahey Ho Mujh Say
Is Qissay May Kia Rakha Hai, Ye Kahani Phir Sahi

"ye"

ye ajab khail hai ishq ka mane ap dekha ye mojaa woh jo lafz meray gumaan mai thay woh teri zubaan par agaye

ye :chai:

**
yeh chaman hai kushta e justuju, yeh nahiiN tarab-geh-e-rang o boo
jo azal se jaama bahaar kaa vohii phool kaa kafan aaj tak

Harf-e-"kaaf" se aglaa she'r marHamat farmaaiye, plz!
Ali Z. Usmani [my Dad]**

<!--Session data--><!--Session data--><!--Session data--><!--Session data--><!--Session data-->

Koii Raasta Dekhaye Deta Nahii
Dhundh Kaisii Haii Kiis Ghubaar Maii Hun!

Ajj Kal Kis Pay Haii Nazar-e-Karam
Mai Tu Waisay Bhi Kis Shumaar Maii Hun!!

*Noon *!!!

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

**Na jane kaun yahan sanp ban ke duss jae
yahan kisi ka koee ehtbaar thori hai *
*

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Yeh faasle ke sarabon se sair ho na sakay..
na jaane teshnagi kitni hai maire paun mein

Noon

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

**nigaah-e-naaz kii kaifiiyateN haiN dil meN vohii
k rooH tan meN ho, sheesha meN jis taraH ho parii

YE se

AsGhar Husain "AsGhar" GonDvii
**<!--Session data-->

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Yeh kia tilasm hai yaaro ke har safar ke liye
main roz aik hi darryaa ko paar karrta hoon

Noon

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Na Muraadi Ki Thakan Se Jism Pathar Ho Gaya
Abb Sakat Kesi Dil e Weraan Zara Aahista Chal

'Laam'

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Likhta to he wo khat mujhey chahat bhara magar
hota he ye kamal bari muddaton ke bahd

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Dil Ki Batoon Peh Kaun Jaye Faraz..!!
Aisay Dushman Ka Dost Kya Hona..?

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Aa andaleeb mil k karain aah-o-zariyaan
tu hi gull pukaar main chillaayn hi dil!!!!!!!!!

Laaaam!!!!

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

vow amazing Maya ....

** lout aao k main nay suna hai
Khud Sey Baatain Karney Waley
Aksar Pagal Ho Jatey Hai**

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Nagar men us ke bahd koi hum zubaan nai raha
wo kya gaya ke lag raha he saibaan nai raha

**Abhi To Dafan Hain Jazboon Ki Aandhiyan Hamare Seenon Main
Hamara Sabr Totey Ga To Phir Qayamatien Hongii

** <!--[if !supportLineBreakNewLine]-->
<!--[endif]-->

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

**Yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aya hai
kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanan *
*

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Nasub Karein Mehraab-E Tammana, Deeda-E Dil Ko Farsh Karein
Suntay Hein Wo Koo'ay Wafa Mein Aaj Karein Gay Nazool Mian
<!--[if !supportLineBreakNewLine]-->
<!--[endif]-->

Re: Bait Baazi Month Of October 2009

Nazr-e-dunia bhi kuch lamhe kiye to the
us ki amanat men ye khayanat ki to thi