Bait Baazi Month Of July 2009

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Ye dil ye pagal dil mera kion bujh gaya awargi
iss dasht main ik sheher tha wo kia hua awargi

'Ye'

Youn dil main to her dam hai tamana-ay Madina
Aay kash kay ho jaooN shanasa-ay Madina
Kuch or na tayba kay siwa mujh ko nazer aay
Jis simt nazer ja-ay nazer aa-ay Madina
**
" Hay "**

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

her waqt ka hansna tujhay berbaad na ker day
tanhaaye k lamhoon main kabhi ro bhi lia ker

ray

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Rait se bu'tt na bana ay meray achhay fankaar
aik lamhay ko theher main tujhe pathar la doon

'Noon'

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

[FONT=Times New Roman]نہ جانے ریت سے نسبت تھی کیا مسافر کو<?xml:namespace prefix = o ns = “urn:schemas-microsoft-com:office:office” /><o:p></o:p>
[FONT=Times New Roman]نظر میں دشت تو دل میں سراب چھوڑ گیا

“Alif”

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

[FONT=Times New Roman]Naa Jany raet say Nisbat thi kiya musafir kooo
[FONT=Times New Roman]
[FONT=Times New Roman]Nazar Main Dushht too Dil Main Sarab Chor Gaya
[FONT=Times New Roman]
" Alif"

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Usi aik shakhs ke wastay teray dil main dard hai kis leay
teri zindagi ka mutalba, wohi aik fard hai kis leay

jo likha hai meray naseeb main kaheen tuu ne parh to nahi lia
tera haath sard hai kis leay, tera rang zard hai kis leay

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Yahi wafa ka sila he to koi bat nai
ye dard tum ne dia he to koi bat nai

Ye

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Ye kesa dastoor e zuban bandi hai teri mehfil main
yahan to baat kernay ko tarasti hai zubaan meri

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

yoon tooo Din Daharay Bhi Loog Loot laytay hain

Laykin un nigahoon kii aur hiii siyasat thii.

"YE"

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Ye kis maqaam pe soojhi tujhe bikharnay ki
ke abb to jakay kaheen din badalnay walay thay

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Ye bhi andaz hamare hen tumhen kia maloom
hum tumhen jeet ke hare hen tumhen kia maloom

meem

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Mujhe maloom hai uss ka thikana phir kahan hoga
parinda aasmaan chhunay main jab nakaam ho jaye
ujalay apni yaadon ke hamaray sath rene do
na janay kis gali main zindagi ki shaam ho jaye

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Yahan kisi ko bhi hasb-e-arzoo na mila
kisi ko hum na mile aur tu hamen na mila

Alif

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Acha hai dil ke paas rahay pasban-e-aqal
lekin kabhi kabhaar isay tanha bhi chhor de

'Ye'

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Ye Aur Baat Ke Dushman Huwa Hay Ab ke Magar ..
Wo mera Dost thA Kal Taak Usse Bura na Kaho...!

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Wo mila to sadyo'n ke baad bhi meray lub pe koi gila na tha
usay meri chup ne rula dia, jisay guftugu main kamaal tha

'Alif'

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Aa Mujhy Daikh , Jesey Daikh ke Nazrain keh dey..
Ham nay Bazar main pherta huwa Ghaam Daikha hay..!

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Ye judaion ke rastay bari duur tak gaye hain
jo gaya wo phir na aaya meri baat maan jao

'W0w'

Re: Bait Baazi Month Of July 2009

Wo Apne Zaam mAIn thaa Be Khabar raha mujh say **
**Usse Gumman bhi nahi main nahi raha uss ka ....!