Re: Bait Baazi Month Of December 2010
*Ye yaad tha ke duwa karooN par utthey rahey merey haath yuN
jesey khaahishoN ke hajoom meiN kaheeN kho gai teri aarzu
*
"Wao"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
*Ye yaad tha ke duwa karooN par utthey rahey merey haath yuN
jesey khaahishoN ke hajoom meiN kaheeN kho gai teri aarzu
*
"Wao"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
vaqt ne aarazuu kii lau der hu_ii bujhaa bhii dii
ab bhii pighal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Na koi ghyam khizaaN ka hai, na khwahish hai baharooN ki
Hamaray sath hai amjad kisi ki yaad ka mousam
" Meem "
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Yeh chaara-gar bhala kaise mere is marz ko samjhain
Mein beemar-e-muhabbat hoon tum ajao shifa ban kar
Tumhein yeh raaz bata dun ke aksar chand raatoon mein
Tere aangan mein aata hoon sitaroon ki ziya ban kar ...
Next: "Ray"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Rheel-ay shoq say larzaaN tha zindgi ka shaoúr
Na janay kis liyay hum bay-kaber say guzray haiN
"Noon "
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
**
Na rahaa junoon-e-rukh-e-wafaa, yeh rasan yeh daar karo ge kiya!
jinheiN jurm-e-'ishq pe naaz tha, woh gunaah-gaar chaley gaye
**
"Ye"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
yeh udaas udaas se bazm-o-dar yeh ujaad ujaad si rahguzar **
**chalo hum nahin na sahi magar sar-e koo-e yaar koi to ho
"wao"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Wo shakhsh to maazi ki tarah beet gaya hey
lamhe to kabhi laot kar aaya nahi kartey
"Ye"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Yay ek aanso jo thehra hai teri weeran aankhooN maiN
Kisi ka naam likha hai teri weeran aankhooN maiN
Khala ki wusátaiN bhi poochti rehti haiN yay mujh say
Na janay kis ka chehra hai, teri weeran aankhooN maiN
** "Noon "**
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
*Nahi key milney milaaney ka silsila rakhna
kisi bhi sateh pey koi to raabta rakhnaa
madad ki tum sey tawaqqo to khair kya hogi
gareeb-e-shehar-e-sitam hooN meraa pataa rakhna
*
"Alif"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Ashk chupkay sey bhigoo dein gey tumhaara daaman
Jab kabhi meri wafaaou'n ka khayaal aaey gaa.
** "**Alif"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Us ney deikha hi nahi warna ye aankh
dil ka ehwaal kaha kerti hey
"Ye"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Yeh Meri Shanakht Ka Lafz hAi Mgar Ajanabi Ki Si Tarz hAi
Isey Martaba Miley Naam Ka Isey In LabOn Sey Adda Karo
"wao"
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Bohat Khoob :k:
**Wo ke har ehd-e-muhabbat se mukarta jaaye
dil wo zaalim ke usi shakhs pe marta jaaye
mery pehlu meiN wo aaya bhi to khushbu ki tarhaN
meiN usey jitna sametooN wo bikharta jaaye **
“Ye”
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
yahaan tak aate aate suukh jaatii hain sabhii nadiyaan
mujhe maaluum hai paanii kahaan Thaharaa huaa hogaa
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Apni Aankhon kay Samander main uter jane do
Teri mujhrim hon mujhe doob ke mar jane do **
**Zakhm kitne diaey hain Teri Chahat ne Mujhe
Sochti hon tum say kahon magar Jaane Do
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Nice shier UZ :k:
**
Wo meherbaaN hey to iqrar kiyoN nahiN kerta!
wo bad-gumaaN hey to so baar azmaey mujhey
**
“Ye”
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Thanks Amal
ye dil kabhii na muhabbat mein kaamayaab huaa
mujhe Kharaab kiyaa, aap bhii Kharaab huaa
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
agar sehra sey guzro to meray sahir sey keh daina
tumhari be-sabab doori mujhey aksar rulatii hai
Re: Bait Baazi Month Of December 2010
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai