Bait Baazi Month Of December 2010

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

*Ye umr-e-gurezaaN kahiN tthehrey tu ye januN
har saans meiN mujh ko ye lagta hey ke tum ho
sandal sey mehakta huwa pur'kaif hawaa ka
jhoNka koi takraey to lagta hey ke tum ho
*

Next: Wao

Re: Bait Baazi Month Of December 2010


*
Woh poochtay hain ke kaisa thaa woh pare-paikar
Nahe jahaan mein jis ki misaal aisa thaa
Hum aik dosray ko chashm-e-namm se taktay thay
Misaal-e-hijar hamaara visaal aisa thaa ...*

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

**
Iqraar sey perhez hey to inkaar hi kar do
roz kisi ko maar dena accha nahi hota

Alif**

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

:eek: hello amal :wave:

is dil kay chand asaason me ek mosam hay barsaton ka ek sehra hijr ki raton ka, ek jangal wasal kay khwabon ka

Alif

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Long time someone is here "AMAL" Welcome back and keep posting

is nagarii mein baag aur ban kii yaaro liilaa nyaarii hai
panchii apane sar pe uThaakar apane basere phirate hain

Re: Bait Baazi Month Of December 2010


na thaa kuchh to Khudaa thaa, aur na hotaa to KHudaa hotaa
Daboyaa mujhko hone nay, jo naa hotaa to kyaa hotaa??

Alif

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

aa gaii thii dil-e-muztar mein shakebaa_ii sii
baj rahii thii mere Gam-khaane mein shahanaa_ii sii

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Hello CC, how are you? :)
Thanx *UZ *:)

YahaN to pal meiN badal letey heiN khuda bhi
wo saari umr hi mera tawaf kia karta
bicharrtey lamhey barri deir tak wo roya tha
wo is se barrh kar mera aetraaf kia karta

"Alif"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010


*
Ailaan-e-marg huwa tau us ne bhi keh diya Mohsin
Acha huwa mar gaya aksar udaas rehta thaa ...*

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Ashaar meray youn to zamanay k liyay haiN
Kuch shair faqt un ko sunanay k liyay haiN
Yay ilm ka sooda, yay kitabaiN, yay risalay
Ek shakhs ki yadooN ko bhulanay k liyay haiN

"Noon "

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Neend ka halka gulabi khumaar aaNkhoN meiN tha
yuN laga jesey wo shab ko deir tak soya nahi
jaanta hooN ik aesey shakhas ko meiN bhi Munir
gham sey patthar ho gaya lekin kabhi roya nahi

"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010


*
Na tau mein kisi ka raqeeb hon na tau mein kisi ka habeeb hoon
Jau bigar gaya woh naseeb hon jau ujjar gaya woh diyaar hoon ...
*
Next: "Noon"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

**
Nishaani jo tujhey di thi juda hotey huwey meiN ney
pehan ke aa wohi kangan, tujhey dil yaad karta hey
**

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

yeh or bat kah tumhain perhny ki fursat nah ho

             wagrana hum to tery sher main akhbaar bany phirty hain


               noon'

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

**
Naaz hey gul ko nazakat pe chaman meiN aey Zouq
us ney deikhey nahi naaz-o-nazaakat waaley

**
"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Yay arhi tirchi lakeeraiN bana gaya hai kon
MaiN kia kahoon meray dil ka warq to sada tha

"Alif "

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

One of my most favourite:

**
Aaj phir qatl ke ilzaam sey bach'ney ke leeye
ro rahey heiN mujhey sooli pe charrhaney waaley
**"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

yeh talghiyaan,yeh sitam,yeh nakaamiyaan yeh gham
haye kaya sitam ke ab bhi tera muddua hoon mein

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

**
YuN deikhtey rehna usey achcha nahi Mohsin
wo kaaNch ke peikar hey to patthar teri aaNkheiN
**"Noon"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Na bataiN yaad rehti haiN na waday yaad rehtay haiN
Wo sab kuch bhool jata hai nazer jis dam badalta hai

"Yay "