Bait Baazi Month Of December 2010

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Yay hadaiN na tor dena meray daieray maiN rehna
Mujhay apnay dil maiN rakhna meray hafzay maiN rehna
Meray hath ki lakeeraiN tera naam ban k chamkaiN
Meri khwahishooN ki khushboo meray zaichay maiN rehna

*"Alif" *

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Aey Khuda Shikwaey Arbab-e-wafa Bhi sunlay
Khoogar-e-hamd Say thora Sa Gila Bhi Sunlay
(Allama Iqbal)

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

ye kis aavaaz kaa bosaa mere honthon pe kaanpaa hai
main pichhalii shab sadaaon kii halaavat bhuul baithaa huun

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Nai rutooN maiN dukhooN kay bhi silsilay haiN na'ay
Wo zakhm taza hoay jo bharnay walay thay
Yay kis maqam pay sojhi tujhay bicharnay ki
Keh ab to ja kay kaheen din sanwarnay walay thay

" Yay "

Re: Bait Baazi Month Of December 2010


*
Yeh ekhteyaar tumhein hai ke tum badal jao
Mein kya karun ke mein khud ko badal nahe sakta ...*

Next: "Alif"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

ahal-e-dil aur bhii hain ahal-e-vafaa aur bhii hain
ek ham hii nahiin duniyaa se Khafaa aur bhii hain

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Na jee sakna magar jeena, na mar sakna magar marna
Yehi hai daastaan-e-dil, yehi hai daastaan meri ...

Next: "Ye"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

yeh faizan e nazar tha ya keh maktab ki keramat thi,
sikhai kis nai Ismail(A.S) ko aadab e farzandi.

ye

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

*Ye husn-o-ada ki baarisheN, dekh ke dil ye duwa karey
unki aql pe Khuda karey, ye parda yuNhi parra rahey
*

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Yay dukh nahi k andhairooN say sulah ki hum nay
Malal yay hai keh ab subha ki talab bhi nahiN

"Noon "

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

*Na merey zakhm khile heiN na tera rang-e-hina
mausam aaye hi nahiN ab ke gulaaboN waaley
*

"Ye"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Yeh kaun is qadar mujhe weeraan kar gaya
Jhankun jo apne aap mein sehra dikhaye day ...

Next: "Ye"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

**Yeh chiraag benazar hai ye sitaara bezubaan hai
abhi tujhase milataa julata koi duusara kahaan hai

Next YE
**

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Look, who is here :)

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

ya aaj hamesha kah lia muj sy bichar ja

          wagrna rooz kisi  bat peh ranjish nah kia kar

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Rahi meri nigahooN ki hakoomat us kay chehray per
Thehr sakti nahiN koi bhi rangat us kay chehray per
Dua - e - wasl to donooN ki aadat ban gai werna
Na khwahish meray seenay maiN na hasrat us kay chehray per

"Ray "

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Raat phir aaey gi phir zehan ke darwaazey par
koi mehNdi meiN rangey haath sey dastak dey ga

"Alif"

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

*Aafat kee shokhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehashar ke fitane khelate hain jalwa-gaah mein *

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

**bahot Khoob janaab e aali. chshm e maa raushan, dil e maa shaad! merii jaanib se:

nigaah-e-naaz kii kaifiiyateN haiN dil meN vohii
k rooH tan meN ho, sheeshah meN jis taraH ho parii**

Re: Bait Baazi Month Of December 2010

Yeh jo paani mein chala aya sunhera sa ghuroor
Us ne dareya mein kaheen paun utaara hoga ...

Next: "Alif"