Bait- baazi May 2012

Re: Bait- baazi May 2012

Dekh kar qatil ke bache dar guzar karta qisaas
kon tha maqtool ke pyaron main itne zarf ka

kaaf / alif

Re: Bait- baazi May 2012

****Aaya he tha khayal kay ankhein chhalak parri
Ansu kisi ki yaad kay kitny qareeb hain

hey/noon****
**
**

Re: Bait- baazi May 2012

Na ho naumeed, naumeedi zawal-e-Ilm-o-irfan hai,
umeed murda-e-momin hai Khuda kae razdano mai

Re: Bait- baazi May 2012

***naqsh-e-paa dekh to luuN laakh karuuNgaa sajade *
**sar meraa arsh nahiin hai ki jhukaa bhii na sakuuN

seen/noon ****

Re: Bait- baazi May 2012

Sirf ehsas-e-nadamat ek sajda aur chasm tar,
Aey Khuda kitna aasan hai manaana tujhko..!

Re: Bait- baazi May 2012

**واعظ، تمہاری خاطر مسجد میں آ گئے ہم
اک رات میکدے میں تم بھی ضرور رہنا

rey/alif**

Re: Bait- baazi May 2012

Ab apna koi aqs bhi paaoge na mujh mein,
Ummeed ka sooraj hoon,magar doob chukaa hoon !

Re: Bait- baazi May 2012

***hai barii chiiz naazukii dil kii*
**kis se kahiye ki log patthar hain

hey/noon****

Re: Bait- baazi May 2012

naazukii uske lab kii kia kahiye
pankhaRuu ik gulaab kii sii hai

he yaa ye se

Re: Bait- baazi May 2012

***yaa to kisii ko jurrat-e-diidaar hii na ho *
**yaa phir merii nigaah se dekhaa kare koii

kaaf/ye ****

Re: Bait- baazi May 2012

Yeh raz kisi ko nahi maloom k Momin,
qari nazar ata hai,haqeeqat mai hai Quran

Re: Bait- baazi May 2012

qahhari-o-Ghaffari-o-quddusii-o-jabaroot
yeh chaar 'anaasir hoN to bantaa hai musalmaan

Re: Bait- baazi May 2012

na tha kuch to khuda tha na hota kuch to Khuda hota
diboya mujh ko honay nay na hota main to kia hota

Re: Bait- baazi May 2012


ek ma'moolii sii tasHeeH she'r kii...

na thaa kuchh to Khudaa thaa, kuchh na hotaa to Khudaa hotaa
Duboyaa mujhko hone ne, na hotaa maiN to kia hotaa?

haN jii, to kia hote? :D

haiN aur bhii dunyaa meN suKhanwar bahot achchhe
kahte haiN k "Ghalib" kaa hai andaaz-e-bayaan aurrr! :)

Re: Bait- baazi May 2012

thank you KKF :)

rait say bu'tt na bana ay meray achay fankaar
aik lamhay ko theher main tujhay pathar laadoon

Re: Bait- baazi May 2012

***na jaane kyaa samajh kar chup huuN ai sayyaad main varnaa*
**vo qaidii huuN agar chaahuuN qafas mein bhii bahaar aaye

alif/ye ****

Re: Bait- baazi May 2012

yi hihir hi eo eska faqat wasal hi ilaj
ham ne yi zakham waqt ko bharne nahi dia

DAAL/ALIF

Re: Bait- baazi May 2012

Darde-dil kae waste paida kiya insaan ko,
Warna itaat ke liyae kuch kam na the Qarobiyaan

Re: Bait- baazi May 2012

**qisse terii nazar ne sunaaye na phir kabhii
hum ne bhii dil ke daag dikhaaye na phir kabhi

kaaf/ye **

Re: Bait- baazi May 2012


qaroobiyaan kia hotaa hai? :(

qaid-e-Hayaat o band-e-Gham, asl meN donoN ek haiN
maut se pahle aadmii Gham se nijaat paaye kiuN?

KAAF se yaa NOON se