Bait- baazi May 2012

Re: Bait- baazi May 2012

***abhi to zid hay usay raastha badalnay ki
woh roye ga bhi bohut meri chahatoon kay liyee
*

laam/ye **

Re: Bait- baazi May 2012

Lo main aankahin band keay leti hoon abb tum rukhsat ho
dil to jaanay kia kehta hai lekin dil ka kehna kia

Re: Bait- baazi May 2012

***ajab aitabaar-ba-aitabaarii ke daramiyaan hai zindagii *
**main qariib huun kisii aur ke mujhe jaanataa koii aur hai

hey/ye****

Re: Bait- baazi May 2012

Ye kis maqaam pe soojhi tujhay bichharnay ki
ke abb to jaakay kaheen din sanwarnay walay thay

Re: Bait- baazi May 2012

Taaj tere liye ik mazahar-e-ulfat hee sahi
Tum ko is vaadi-e-rangeen se aqeedat hee sahi **
*Mere mahaboob kahin aur mila kar mujh se *
**Bazm-e-shaahi mein garibon kaa guzar kyaa maani

*Sabt jis raah pe ho satavat-e-shaahi ke nishan *
**Oos pe ulfat bhari ruhon ka safar kya maani

meem/ye**

Re: Bait- baazi May 2012

ye jo raat din ka hai khel sa isay dekh iss pe qaqeen na karr
nahi akss koi bhi mustaqil sarr e ayena usay bhool jaa

Re: Bait- baazi May 2012

**Ishq fana ka naam hai ishq mein zindagi na dekh
Jalvaaa-e-aaftaab ban zarre mein roshani na dekh

daal/hey **

Re: Bait- baazi May 2012

do chaar lafz keh kay main khamosh hogaya
wo muskura kay bolay buhat boltay ho tum :D

Re: Bait- baazi May 2012

***meraa vajuud merii ruuh ko pukaarataa hai *
**terii taraf bhii chalun to Thahar Thahar jaaun

jeem/noon****

Re: Bait- baazi May 2012

Naye mausam baray baydard niklay
haray pairon kay pattay zard niklay

Re: Bait- baazi May 2012

nazuki us ke lab ki kia kaeyey
pankhari gulaab ke se hay:flower1:

hey/yey

Re: Bait- baazi May 2012

Hum Mahabat mai b toheed kay kail hain faraz,
aik he shakhas ko mahboob bana rakha hai

Ahmed Faraz

Re: Bait- baazi May 2012

:lajawab:

Re: Bait- baazi May 2012

Hzaroon gham hain lakin ankh se tapkay nahi aanso,,,sagar
Hum ahl-a-zarf hain peetay hain chalkaya nahi kartay...!

Re: Bait- baazi May 2012

Ye kashmakash alag hai ke kis kashmakash main hoon
aata nahin samajh buhat sochta hoon main

Re: Bait- baazi May 2012

**Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

daal/vao **

Re: Bait- baazi May 2012

wo mila to sadyoon ke baad bhi meray lab pay koi gila na tha
usay meri chup ne rula diaa jisay guftugu main kamaal tha

Re: Bait- baazi May 2012

**aiteraaf apni khataaon ka mein kerta hi chalon
janay kis kis ko milay meri saza meray baad

bay/daal **

Re: Bait- baazi May 2012

dil e nadaan tujhay hua kia hai
aakhir iss dard ki dawaa kia hai

Re: Bait- baazi May 2012

**itna tasulsal tou meri san'soo mai bhi nahi
jitni rawani se woh shakash mjhe yaad aata hai ... *
*