Re: Bait- baazi May 2012
Hairan hoon k muddat_e_qaleel me mohsin ,
Vo shakhs meri soch se zyada badal gya..
Re: Bait- baazi May 2012
Hairan hoon k muddat_e_qaleel me mohsin ,
Vo shakhs meri soch se zyada badal gya..
Re: Bait- baazi May 2012
***Ajeeb Baat Nahi Hai, Wohi Dil Tor Jaate Hein
Jinke Pyar Pe Tumhe Sabse Ziaada, Gumaan Hota Hai
Itne Hairan Kyun Hote Ho, Koi Hai Iss Dunya Mein?
Ke Jiss Shakhs Ka Poora Har Ik, Armaan Hota Hai***
Re: Bait- baazi May 2012
Aye Dil Tujhe Anjaam Ki Kya Fikar Pari Hai ...
Ham ishq Ki Dunia Main Siyaasat Nahi Karte ....!!!
Re: Bait- baazi May 2012
kal bhi tere a seer they ham log
aaj bhi ham aseer taray hain
hey/noon
Re: Bait- baazi May 2012
Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani
Re: Bait- baazi May 2012
Yeh kia K sub pae ayan dil ki halaten kerni,
faraz tujh ko na aain mohabaten kerni
Ahmed Faraz
Re: Bait- baazi May 2012
Ku ba ku phel gai baat shanasai ki
usne khushboo ki tarah meri pazeerai ki
usne jalti hui peshani pe jab hath rakha
Rooh tak agai taseer maseehai ki
(Parveen Shakir)
kaaf / Alif
Re: Bait- baazi May 2012
EN BARISHON SAE DOSTI ACHI NAHI FARAZ,
KACHA TERA MAKAN HAI KUCH TAU KHAYAL KER
Ahmed Faraz
Re: Bait- baazi May 2012
tark e taluqaat pe roya na tu na main
lekin ye kiya ke chain se soya na tu na main
(Meem / Noon)
Re: Bait- baazi May 2012
mujhe bhii log maa'il kar chale the Khanda-e-gul par
Khushii ke daur-e-be_jaa meN tiraa Gham thaa jo kaam aayaa
a she'r by: my Dad!
alif se
Re: Bait- baazi May 2012
En hasraton sae kah do kahin aur ja basen,
itni jaga khan hai, dil-e-dagdar mai
Re: Bait- baazi May 2012
En hasraton sae kaho kahin aur ja basen,
itni jaga khan hai, dil-e-dagdar mai
ik zaraa sii tasHeeH-e-misr'a:
in HasratoN se kah do kahiiN aur jaa baseN
Khair:
mujhe ashk dete haiN chheR ke, mirii aah sunte haiN Ghaur se
yeh sawaal un se na rad huaa k koii sawaal nahiiN rahaa
a she'r by: my Dad
[re yaa alif]
Re: Bait- baazi May 2012
Aa Gaya Hai Mujh Main Hosla Tujhe Chornay Ka..!!
Main Aakhri Sans Leti Hoon Aur Tum Azaad...!!
Re: Bait- baazi May 2012
ik zaraa sii tasHeeH-e-misr'a:
in HasratoN se kah do kahiiN aur jaa baseN
Khair:
mujhe ashk dete haiN chheR ke, mirii aah sunte haiN Ghaur se yeh sawaal un se na rad huaa k koii sawaal nahiiN rahaa
a she'r by: my Dad
[re yaa alif]
I missed that word during typing
Anyways thanks for correction
Re: Bait- baazi May 2012
Aik Wohi Shahks Zindagi Bhar Key Liye Udas Kar Gaya Faraz,
Jo Kehta Tha Tumhary Chehray Pr Udasi Achi Nahin Lagti..!
Re: Bait- baazi May 2012
Ye masaail e tasawwuf ye tera bayaan ghalib
tujhe hum wali samajhtay jo na baada khuaar hota
Re: Bait- baazi May 2012
Ye masaail e tasawwuf ye tera bayaan ghalib
tujhe hum wali samajhtay jo na baada khuaar hota
aalaam-e-roz_gaar ko aasaaN banaa diyaa
jo Gham huaa use Gham-e-jaanaaN banaa diyaa
AsGhar Husain "AsGhar" GonDvii
daal se yaa alif se
Re: Bait- baazi May 2012
Iqbal bara apdeshak hai mann baaton se mohh leta hai
guftaar ka qaazi ye to banaa kirdaar ka qaazi ban na saka
Re: Bait- baazi May 2012
Iqbal bara apdeshak hai mann baaton se mohh leta hai
guftaar ka qaazi ye to banaa kirdaar ka **qaazi **ban na saka
lafz "Ghaazii" hai na k "qaazii" :)
samajh rahaa huN Hudood-e-fareb-e-tashna_labii
k roo-e-aab par chhaayaa hai ab saraab apnaa
a she'r by: my Dad!
alif se
Re: Bait- baazi May 2012
thanks for correction mujhe hamesha confusion hojaati hai :(
Ibtidaye ishq hai rota hai kia
aagay aagay dekeay hota hai kia