Bait Baazi --- March 2007

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yaad Us ki Itni Khoob Naheen ' MeeR Baaz Aa
Naadaan Phir Woh jii say Bhulaya na ja'eyga

alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

Aaj kya dekha khalaaon ke sunehare khvaab mein
Reg_zaaron ke siva kuch bhi nahin mah_taab mein
Jab se pehna hai naye mausam ne zakhmon ka libaas
Phool se khilne lage hain diidaa-e-khuunaab mein


noun

Re: Bait Baazi --- March 2007

Naghmoo'n ki Ibtida thee kabhi mayray naam say
Ashkhoo'n ki Intihaa hoon mujhay yaad keeji'ay

yay

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ya Rab! Gam-e-hijraan mein itna to kiya hota
Jo haath jigar pe hai vo dast-e-dua hota
Ik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
Ya gham na diya hota ya dil na diya hota


alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

Aa bhi jaao kay zindagi kam hay
Tum naheen ho to har Khushi kam hay
Vaadaa kar k ye kaun aayaa naheen
Shahar main aaj roshanii kam hay

Yay

Re: Bait Baazi --- March 2007

yeh qurbataieN bare imti'haN leti hai kisi se wasta rakhna tu door ka rakhna
"alif"

Re: Bait Baazi --- March 2007

*Apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
Tera mujrim huun mujhe duub ke mar jaane de
Zakhm kitne teri chaahat se mile hain mujhko
Sochta huun ke kahuun tujhse magar jaane de *


yay

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ye Kinaron Se Khelne Wale
Doob Jayen To Kia Tamasha Ho

"WoW"

Re: Bait Baazi --- March 2007

Vo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
Main tujh ko bhuul ke zindaa rahuun Khuda na kare
Ye thiik hai nahin marta koi judaii mein
Khuda kisi se kisi ko magar juda na kare


**yay**

Re: Bait Baazi --- March 2007

ye bhi janab ap ki himmat ki baat hai
rakhta hai yunhi yaad kisi ko koi kahan?
ye to bas apni apni zaroorat ki baat hai
wo jis ko chahe apne karam se nawaz de!

ye

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ye zaruuri nahin har shakhs masiha hi ho
Pyar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo **
**Ret par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo


**wow
**

Re: Bait Baazi --- March 2007

Woh Muddatoo'n Ki Judai Kay Baad Hum Say Mila
Woh Is Tarah Kah Ab HUM Guraiz Karnay Lagay

Ahmed Faraz

Yay

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yuun hi hamesha khilaaye hain hamne aag mein phuul
Na unki haar nai hai na apni jiit nai
Isi sabab se falak ka gilah nahin karte
Tere firaaq mein ham dil bura nahin karte

By Faizjee*yay*

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yahan Kissi Say Ummed e Wafaa Na Kar Kausar
Yahi Samajh Lay Kah Yeh Daur Pat'tharoo'n Ka Hay

Kausar niazi

Yay

Re: Bait Baazi --- March 2007

Y**ehi andaaz-e-diyaanat raha to kal ka taajir
barf ke baat leeye dhoop meiN beittha ho ga

**"Alif"

Re: Bait Baazi --- March 2007


aisi hawa chali thi, dekho chalti hai wo aaj bhi
leke jaati hai kis taraf humne jaana na aaj bhi

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ye masail-e-tasavvuf, ye tera bayaan 'Ghalib'
Tujhe ham wali samajhte, jo na baadaa-khvaar hota **
**Tere vaade par jiye ham to ye jaan jhuuth jaana
Ke khushi se mar na jaate agar aitbaar hota


alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

IlzaaM ApnI MauT Ka MausaM PaY KiyuN DharooN
MayraY BadaN MaiN MayraY LahoO Ka FasaaD ThA

Himayat ali shaa'ir

AliF

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ilahi, tasiir kahan sey la'uu nalah-e dil mein?
Ke us bemahr ko gham-e dil sey aashna kardey.


a quote my late father use to recite, sha´ir unknown
yay

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya
kitne jald badal jaate hain log Jaanaan

n