Bait Baazi --- March 2007

Re: Bait Baazi --- March 2007

nahi ke husn hi nairangioN maiN taaq nahi
junooN bhi khel raha hay siasataiN kaisi...

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yeh Maynay Maana Judai Mayraa Muqad'dar Hay
Magar Yeh Baat Na Moun Say Kaho Khuda k liay

YaY

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ye aarzu hi rahi koi aarzu karte
Khud apni aag mein jalte jigar lahu karte
Hamein yaqiin hai ki gar tu qariib bhi hota
To duur jaake kahiin teri justaju karte

By Himayat Aki Shayar
yay

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yoon Bhi Naheen K Paas Mayray Hay Woh Hum Nafs
Yeh Bhi Ghalat k Mujh Say Judaa Ho Gaya Woh Shakhs
Parrhta Tha Main Namaz Ki Soorat Jisaay RasheeD
Phir Youn Hova K mujh Say Qaza Ho Gaya Woh Shakhs

Rasheed Qaysaraani

Swaad

Re: Bait Baazi --- March 2007

Sad shukr ke apni ratoon mein ub hijr ki koi raat nahin
Ye jaan tau aani jaani hai, is jaan ki koi baat nahin
Gar baazi-e ishq ki baazi hai, jo chaaho lagaa do darr kaysa
Gar jeet ga'ay tau kya kehna, haarey bhi tau baazi maat nahin.

Faiz Ahmed Faiz
noun

Re: Bait Baazi --- March 2007

Na sawaal-e-wasl na arz-e-ghum na hikaytein na shikayatein
terey ahd mein dil-e-zaar ke sabhii ikhteyaar chaley gaey

Ye*

Re: Bait Baazi --- March 2007

yeh jugno apni yadoon k hamare saath rehne do
najane kis gali main zindagi ki shaam ho jaye

yay

PK lala superb shairs :)

Re: Bait Baazi --- March 2007

YUn Jazab ker liya hey tujhy rooh mein key ab
aye dost tujh ko paanay kee hasrat nahi rahi


**yay **

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yay bhi kyaa sham-e-mulaqaat aa'ee
Lab pe mushkil se tayri baat aa'ee
Koi jab mil ke hova thaa rukhsat
Dil-e-baytaab vahee raat aa'ee

YaY

Re: Bait Baazi --- March 2007

*Ye kin nazroon se tum ne aaj dekha
Ke tera dekhna dekha na jaaye *

*'Faraz' apne siva hai kaun tera
Tujhe tujh se juda dekha na jaaye *


**yay

**

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yay kis Khalish nay phir is dil main aashiyanaa kiya
Phir aaj kis nay sukhan hum say ghaa'ibana kiya
Gham-e-jahaa'n ho, rukh-e-yaar ho kah dast-e-Aduu
Salook jis say kiyaa hum nay aashiqana kiya

dast-e-Aduu=enemy's hands

AliF

Re: Bait Baazi --- March 2007

Apne khvabon mein tujhe jis ne bhi dekha hoga
Aankh khulte hi tujhe dhuundhne nikla hoga

Zindegi sirf tere naam se mansuub rahe
Jaane kitne hi dimaagon ne ye socha hoga


alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

Apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
AMJAD yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

Alif again

Re: Bait Baazi --- March 2007

Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
Taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahin hai **
**Tu ne qasam mai_kashi ki khaii hai 'Ghalib'
Teri qasam ka kuch aitebaar nahin hai


** yay**

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yeh DIL har dam tere pyaar ka talabgaar rahega
Mar jaonga main par yeh Waqt yaad rahe ga...!!!

~Alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

aik umer tak mai un ke zaroorat bana raha
phir yea howa k un ke zaroorat badal gaie

yay

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ye keh kar diye meri qismat mein naale
Tumhari amaanat tumhare havale **
**Karuun aisa sajdah vo ghabra ke keh den
Khuda ke liye ab to sar ko uthaa le

yay

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yeh kaisee rafaaqat hay na milna na bichhadna
Yeh kaisee wafaa hay keh na taryaaq na sum hay
"yay"

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yaa tou mitt jaa'iay ya mitta dije'ay
Kije'ay jab bhi saudaa kharaa kije'ay

Har taraf phool hee phool khil ja'aingay
Aap aisay hee hanstay rahaa kije'ay

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yeh Kis Maqaam Pe Soojhi Tujhay Bichharnay Ki
Ke Abb Tou Jakay Kaheen Din Sanwarnay Walay Thay