Bait Baazi --- March 2007

Re: Bait Baazi --- March 2007

Na Mila Ker Udaas Logoun Sey
Husn Tera Bikher Na Jaye KaHin

** (Noon)**

Re: Bait Baazi --- March 2007

naa sawal sood o ziyan ka ker ,
hai woh kya jo mujh ko mila nahin
meray humsafar tu yaqeen ker mujhe tujh sey koi gila nahin
hain teray karam ki hi baarishain jo sada rahin meray haal per
karoon tujh sey koi gila kabhi yeh mohabbaton ka sila nahin

** (Noon)**

Re: Bait Baazi --- March 2007

Na sawaal kar na jawaab maang ke mujhey zindagi ki kitaab meiN
koi baab bhi khushi ka mila nahi, meiN aakhir tujh ko bataaoN kya
"Alif"

Re: Bait Baazi --- March 2007

ay rooh qatra qatra pighel aap ke liyeh
ay khame saile khuwab mein chal ap ke liyeh

ye

Re: Bait Baazi --- March 2007


yaad karnay ke siwa ab kar bhi kya saktay hain
bhool janay mein tujhay nakaam ho janay ke baadh

Re: Bait Baazi --- March 2007

daagh e dil humko phir yaad aanay lagay
loag apnay diay phir jalanay lagay
ye

Re: Bait Baazi --- March 2007


yeh hai acha hai keh apas ke bharam na tootne pain
kabhi bhi doston ko azma ker kuch nahi milta

Re: Bait Baazi --- March 2007

ub kay yoon ho ke bewafaee main karoon
wo mujhay dhoondta phiray karya b karya ko b ko

Re: Bait Baazi --- March 2007


woh na aaey ga hamaiN maloom tha us raat bhi
intezaar uska magar kuchh soch kar kartay rahay

ye :D

Re: Bait Baazi — March 2007

:cb: kuch hasb e haal sa hey
*

Re: Bait Baazi --- March 2007

yaad karo us pyaar ki khaatir, sou dukh sahtay thay hum dono
mil jaatay tau pooray hotay, aadhay aadhay thay hum dono

Re: Bait Baazi --- March 2007

naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau
jab aa_uu.Ngaa to meraa naam bhii nayaa rakhanaa
(poet)Zafar iqbal

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ik wahem hai yeh duniya is mein
Kuch kho'o to kya aur pao to kya


**~alif **

Re: Bait Baazi --- March 2007

*Aawaz Dey K Chup Gayi Her Baar Zindagi
Hum Aisay Sada Dil Thay K Her Baar Aa Gaye
*

Re: Bait Baazi --- March 2007

ye jo ser patakti phirteen hain maujain ser e nahar e furaat
aisa lagta hay k koi payaasa abhee sajday main hey

Re: Bait Baazi --- March 2007


ye kya kay har kisi say bayaa'n dil ki haltain karni
faraz tujh ko na askee'n muhabtain karni

ye

Re: Bait Baazi --- March 2007

Yeh hum mohabbat maiN latalluq say ho rahay haiN tu dekh lena
DuaaiN tu khair kon dey ga salaam mumkin naheeN rahay ga

Re: Bait Baazi --- March 2007

ub k dil main wo dard utraa hey
ghair-mumkin hey k aaj kul jaaey

Re: Bait Baazi --- March 2007


yohi besabab na phira karo kisi sham ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitaab hai usay chupkay chupkay parha karo

wao

Re: Bait Baazi --- March 2007

*Wo Ashk Bun Ker Meri Chashm--e--Ter Main Rehta Hay
Ajeeb Shaks Hay pani K Gher Main Rehta Hay,
*