Bait Baazi --- March 2007

Re: Bait Baazi --- March 2007

Naumeed naa ho in say ay rehber-e-farzana
kam kosh to hain laiken be-zauq nahin raahi

next:yeh

Re: Bait Baazi --- March 2007

yaade.N chalii.N Khayaal chalaa ashk-e-tar chalay
lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chalay


dil ko sa.Nbhaalate rahe har haadase pe ham
ab kyaa kare.N kay Khud tere gesuu bikhar chalay

*Hosh Tirmazi
Next ~yeh~

Re: Bait Baazi --- March 2007

nahin mumkin ke mein zinda rahoon tujh se juda ho ker
rahoonga tere qadmon mein hameisha khaak`e pa ho ker

Re: Bait Baazi --- March 2007

**Raat ke shayad aik baje hain
Sotaa hogaa meraa chaand *
*
~ daal

Re: Bait Baazi --- March 2007


dyaar-e-ghair mai kasay tujhay sada daitay
tu mil bhi jata to tujhay ganwa daitay

ye

Re: Bait Baazi --- March 2007

yaarab is iKhtilaat ka anjaam ho baaKhair
tha us ko ham se rabt magar is qadar kahaaN

"noon"

Re: Bait Baazi --- March 2007

na ganwao navike neem kush dile raiza raiza ganwa diya
jo bache hain sung samait lo tann`e daagh daagh luta diya

Re: Bait Baazi --- March 2007

Aag thay ib'tada e ishq main hum
Hogaye raakh inteha yeh hai !!!

~Ye

Re: Bait Baazi --- March 2007

ye kahan ki dosti hai kay bany hain dost nashey
koi chara saaz hota koi gham gusaar hota

alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

Aalam-e-zaat main darwaish bana deta hai
Ishq insaan ko paagal nahi hone deta

~Alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

ab kay hum bichray to shaa'id kabhi khawaboon main milain
jaisy sookhay hovay phool kitaabon main milain

Noon

Re: Bait Baazi --- March 2007

**Na to gham ki dhoop jala saki na to mausamon ka asar hua
woh meri wafa ka hi phool tha jo abhi talak hai khila hua
meri baat aur hai chorriye main aseer-e-jazba-e-ishq hoon
zara apne dil ko bhi dekhiye yeh bataiye isay kiya huwa' *
*


**AliF **

Re: Bait Baazi --- March 2007

usay koun daikh saktaa kay yagana hai wo yaktaa
jo doi ki boo bhi hoti to kahin dou chaar hota

alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

Allah re fareb-e-masheeyat k aaj tak
duniyaa ke zulm sahte rahe Khamushii se ham
~mEEm

Re: Bait Baazi --- March 2007

mahram nahin hai tu hi nawa haai saaz ka
yaan warnaa jo hijaab hai, pardaa hai saaz ka

alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ikhlaas-o-Wafa ke Sajdoo'n ki jis dar pe daad nahi milti
Aye Azm-e-Khudi , Aye ghairat-e-Dil uss dar pe sajda kya karna
*
*~alif~

Re: Bait Baazi --- March 2007

aitbaar-e-ishq ki khana kharaabi daikhnaa
ghair nain ki aah, to to khafaa mujh par hova

alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

***ab koi bhool kar bhi wafa ka naam nahi laita
teray salook ney chonka dia-----zamaney ko



wow

Re: Bait Baazi --- March 2007

waa kar diyey hain shouq nain band naqab-e-husn
ghair az nigah ubb koi haial nahin raha

alif

Re: Bait Baazi --- March 2007

Ahl-e-dil aur bhii hain ahl-e-vafaa aur bhii hain
Ek ham hii nahiin duniyaa se Khafaa aur bhii hain
*
*~noon