Bait Baazi for the month January 2011

Re: Bait Baazi for the month January 2011

nice muskan per iss pe rona banta tha :p
na zanee(n) hai meri qara gah,na falak hai manzil jazb-o-dil
barri der se hai safar mera,teri yad se teri yad tak...

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Kaati hey gham ki raat barrey ehtiraam sey
aksar bujha lia hey chiraaghoN ko shaam sey
har saaNs par hey maot ka pehra laga huwa
aahista aey hayaat guzar is muqaam sey

"Ye"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

last word kaaf hai chachu :p

Re: Bait Baazi for the month January 2011

ooops sorry mai kuch or samjhi :(

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Kaati kaaf sey hi hota hey, meem sey nahi :snooty:

Re: Bait Baazi for the month January 2011

yadon main us ki guzra ye saal jesa hai
bata gardish-e-doran ye jaal kesa hai
main apne zabt ki har had ko choo rhi hun bata
mere firaaq main ab tera haal kesa hai...

Re: Bait Baazi for the month January 2011

mere khyal main mene sorry ker dia hai :smilestar:

Re: Bait Baazi for the month January 2011

^ Jao muaaf kia :)

Ye bhi mumkin hey kisi roz na pehchanu usey
wo jo har roz naya bheis badal leta hey

"Ye"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

ya Allah sare shair yay pe he kiun end hote hain :sadaf:

yun wo mila k jese kabhi mila he na ho
hamari zat pe jiski inayetain thin bohat
hamain khud apne yaron ne ker dia ruswa
k bat kuch b na thi or wazahatain thin bohat…

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Good one :k:

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**Tujh ko kya maloom ay jaan-e-jahan terey baghair
Mera jeevan kut gaya aur mein jeeya kuch bhi nahin

Noon**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Na dukhao is dil ko janu
kahen hum shair na ho jahen

Noon

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Welcome udaas :flower1:

**NeendoN ko tarasti hui ankhoN main na jhanko
in main bhi kabhi khwabon ki rut aai to hogi **

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Ye Saaniha Bhi Muhabbat Main Baar'ha Guzara
** Ke Uss Ne Haal Bhi Poocha To Aankh Bhar Aaii**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

**Ye khawab hai, khusboo hai, keh jhoonka hai keh pal hai
Ye dhund hai, badal hai, keh saaya hai keh tum ho

Wao**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein
Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andar Been Karti Hain
Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain

"Noon"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Na-jane kya thaa un aankhoon mein ke sar kham kar diya
Warna dil tau woh sikandar hai jo kabhi haara na thaa ...

Next:** "Alif"**

Re: Bait Baazi for the month January 2011

Aankhain masroof ho jati hain bhula detay hain log
dour bhot nikltay hain mnzilain gnwa detay hain log
dast-e-tlab utha k mangtay hain muhobbat khuda say
jo ho dstras main to khud hi gnwa detay hain log
"gaaf"

Re: Bait Baazi for the month January 2011

gham_e_ doran k tapty huway sehra sy too nikal

** tuj ko mil jayain geh hazroon thamny waly**

** ye.**

Re: Bait Baazi for the month January 2011


ye zaroori tu nhe k aag se jal jae bashaR
baaz logo k0 tu muQaddaR b jala dete hien

"n00n"